Some Nohay in English Roman

5
Aaj karbal main Shabir mehman hai, dil ko arman hai Hota qatal-e-shah deen ka saman hai, dil ko arman hai Deen Nabwi ko zalim mitany lagay, haq chupanay lagay Kaaba e-deen ko mil kay giranay lagay, haq chupanay lagay Bagh Zahra ka ab hota veeran hai, dil ko arman hai Dosto ban gai zulam ki rrat hai, Gham main saadat hai, Har taraf shah pay teeron ki barsat hai, gham main saadat hai hai narghay main fakhr-e-Suleman hai, dil ko arman hai Laash Akabar ki jab shsha uthanay lagay, khoon rulanay lagay Parh ka Sughra ka khat yoon sunanay lagay, khoon rulanay lagay Ghar main sughra akaili parishan hai, dil ko arman hai Sar ko sajda main rakh kay yeh shah nain kaha, aay mera badshah Kyon satatay hain mujh ko yeh ahlay jafa, aay meray badshah Kia yehi meraya nana ka farman hai, dil ko arman hai Shah nay aada ko Asghar dikha kar kaha, pani deejo zara Hay piyasa karo reham behar-e-khuda, pani deejo zara Kia khatawar nanha say nadan hai, dil ko arman hai Ki kahoon kaisay Asghar nain pani piya, howay kasiay ada Teer lay kar wahan baitha tha hurmala, howay kaisat ada Lash Asghar hoa khoon main ghaltan hai, dil ko arman hai Naz shah ki sinan par sawari hoi, giria zari hoi Sham ahl-e-haram ki tayyari hoi, giria zara hoi Aaj Zainab hoi sar say uryan hai, dil ko arman hai

description

These are some Nohay, in Roman English.

Transcript of Some Nohay in English Roman

Page 1: Some Nohay in English Roman

Aaj karbal main Shabir mehman hai, dil ko arman hai

Hota qatal-e-shah deen ka saman hai, dil ko arman hai

Deen Nabwi ko zalim mitany lagay, haq chupanay lagay

Kaaba –e-deen ko mil kay giranay lagay, haq chupanay lagay

Bagh Zahra ka ab hota veeran hai, dil ko arman hai

Dosto ban gai zulam ki rrat hai, Gham main saadat hai,

Har taraf shah pay teeron ki barsat hai, gham main saadat hai

hai narghay main fakhr-e-Suleman hai, dil ko arman hai

Laash Akabar ki jab shsha uthanay lagay, khoon rulanay lagay

Parh ka Sughra ka khat yoon sunanay lagay, khoon rulanay lagay

Ghar main sughra akaili parishan hai, dil ko arman hai

Sar ko sajda main rakh kay yeh shah nain kaha, aay mera badshah

Kyon satatay hain mujh ko yeh ahlay jafa, aay meray badshah

Kia yehi meraya nana ka farman hai, dil ko arman hai

Shah nay aada ko Asghar dikha kar kaha, pani deejo zara

Hay piyasa karo reham behar-e-khuda, pani deejo zara

Kia khatawar nanha say nadan hai, dil ko arman hai

Ki kahoon kaisay Asghar nain pani piya, howay kasiay ada

Teer lay kar wahan baitha tha hurmala, howay kaisat ada

Lash Asghar hoa khoon main ghaltan hai, dil ko arman hai

Naz shah ki sinan par sawari hoi, giria zari hoi

Sham ahl-e-haram ki tayyari hoi, giria zara hoi

Aaj Zainab hoi sar say uryan hai, dil ko arman hai

Page 2: Some Nohay in English Roman

Aay Sham-e-Ghariban, Aay Sham-e-Ghariban

Saadat kay khaimon say uthta hai kyon dhuhan

Kyon roti hai, kyon khaak pay soti hai sakeena

Khayan say aati hai sada hai madina

Bikharay hoay lashay hain, kaisa hai yeh saman

Aay Sham-e-Ghariban, Aay Sham-e-Ghariban

Asghar ka na jhoola hai, na Akbar ki azzan hai

Kyon chandani shab main yeh andheray ka saman hai

Kyon pehray pay zainab hai, Abbas hai Kahan

Aay Sham-e-Ghariban, Aay Sham-e-Ghariban

Bay dardi say yoon qatal hoyay Qasim No shah

Maan dhoondhati thi choomnay ko betay ka chehra

Koi teeron main uljha hai, kahin tooti hai sinan

Aay Sham-e-Ghariban, Aay Sham-e-Ghariban

Hai ghir gai yoon sham main yun aal-e-payambar

Ik sham ko khali hoa Zahra ka bara ghar

Iss sham ka sadma tou, abdi say hai ayan

Aay Sham-e-Ghariban, Aay Sham-e-Ghariban

Aay sham-e-alam too nay yeh kia kar dia ban main

Taheer ki waris ko khulay sar kiya ban main

Yeh dar agar na hota, jati tu phir kahan

Aay Sham-e-Ghariban, Aay Sham-e-Ghariban

Aay Haidri, iss sham ki ab howay sahar bhi

Abad hoon saadat kay ujray hoay ghar bhi

Mera saath muntazir bhi, hai Sahib-e-Zaman

Aay Sham-e-Ghariban, Aay Sham-e-Ghariban

Page 3: Some Nohay in English Roman

Alvida Alvida Ali Akbar Alvida Alvida Avvida Ali Asghar Alvida Alvida Alvida Ali Qasim Alvida Alvida Alvida Aun Muhammad Alvida Alvida Alvida Ya Abbas Alvida Alvida Alvida Alvida Alvida

Alvida Alvida Ya Shaheed Be Khata Naz –e-Dasht-e-Nainwa Shah-e Karbala Kar Qabool Behan Ka Salam Ya Hussain Qaid ho Ja Rahi Hoon Sham Ya Hussain Dil Main Teri Yaad Hai Ya Hussain x 2 Dil Main Teri Yaad Hai Aasra Sajad Hai, Saath Ibn-e-Saad hai Main hoon Bay Rida Alvida Alvida

Khatam ho gayay hain aasray Akbar–o-Abbas Meray na Rahay Qatilon kay bheer hai hamari har taraf Jannay ko Tayyar hai yeh Qaidion ki Saff Ibn-e-Shah-e-Bu –Turab Ya Hussain X 2 Ibn-e-Shah-e-Bu –Turab Ho Gayi hoon Bay Hijaab Laut aaoon Kamyab Dai Mujhay Dua

Kia sunaon dard fakhr-e-Panjtan Chahay main nay lakh hain kiyay jatan Main Riday innma Bacha Nahin Saki Bhai Teri laash pay main aa nahin saki Aag thi Khayyam thay Ya Hussain X 2 Aag thi Khayyam Thay Un Main Do Imam Thay Bachay Tishna Gaam Thay Aati Kis Tarah

Chup na Jaaya tera bay gunah lahoo Ja rahi hoon iss liyay main ku baku Ja kay main bataoon gi u be missal hai Tu baq-e-Deen hai tu la zawal hai Chahay be nawa hai tu Ya Hussain X 2 Chahay be nawa hai tu Rooh –e la illah hai tu Fakhr-e-anbia hai tu Raaz kibriya Main na ruknay doon gi tera gham hussain Main na jhuknay doon gi yeh alam hussain Ehad jo kia who nibha kay aaoon gi Main hussainiat ko yoon bacha kay aaon gi Hashar tak rahay ga tu Ya hussain x 2 Hashar tak rahay ga tu, iss tarah jiyay gat u, aa kay khud kahay gat u, Behan Shukriya Chor kar jo chala dasht-e-Karbala Malka haya ka Qaidi Qafla Boli ro kay Shah say yeh dukhtar-e Imran Dil Ghamon say choor hai Ya Hussain X 2 Dil Ghamon say choor hai Aur Shaam dur hai Jaana bhi Zaroor hai Bhai Alvida Alvida Alvida

Page 4: Some Nohay in English Roman

Yasrab main aayi khawab main Zainab kay yoon Batool Matha Barha tha khoon say, sar par rida na thi Zainab na poocha kiss kay lahoo say jabeen hai laal Amman tujh par tou afat –e-safar-e-Karbala na thi Ro Kar kaha Batool nain tum yaad tou kara Tum Apni Yaad ko zara Abad tou karo Kiss Waqat kiss jaga main Shareek –e-Aza na Thi Yeh Maan Kahan na thi Zainab safar main saath teray Maan Kahan na Thi , Yeh Maan Kahan Na Thi Roi Tumharay Saath Bahatar ki laash par Akbar ki laash par ali asghar ki laash par Zainab main kiss Shaheed ki Sahib Aza na thi, Yeh Maan Kahan na thi Jarha tha kiss nay balon say Sehra-e-Karbala Kiss nay bichaya aa kay musalla –e-Karbala Hai Hai Main Karbla main shab-e-Qatal kia na thi, Yeh Maan Kahan na thi Rakht-e-Kuhan Hussain nay manga tha jiss Garhi Khaimay main bibi tum ko ghash aaya tha jiss garhi Khaimay kay peechay ronay ki meri sada na thi, Yeh Maan kahan na thi

Rukhsat ko aaya khaimay main jab ibn-e-bu-turab Thami thi tum nay jiss garhi mazloom ki rakab Kia saath saath gorhay kay main nangay paa na thi Yeh Maan Kahan na thi Jab tum giri thi bhai kay lashay poi oont say Nakay pay tum sawar thi bazoo rasan main thay Kia baal kholay laashay pay khair-un-Nisa Na thi Yeh Maan Kahan na thi Yasrib sa ta ba Maria, aur Rasta ba Shaam Hamrah thi Qadam ba Qadam, Saath gaam gaam Aianb Kahin Hussain say Zahra Juda na thi, Yeh Maan kahan na thi.

Page 5: Some Nohay in English Roman