Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

31
Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain Maqsood Hasni Abuzar Barqi Kutab'khana July 2016

Transcript of Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Page 1: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay

Sagay Nahain

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khana

July 2016

Page 2: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay

Nahain

Riyasat apna nazam-e-hakomat chalanay

aur apni afradi qovat ki ista'ad-e-kar

main mukhtalif hawaloun aur tariqoun

say azafay, skilled karnay,

shaour-o-aaghi say behra'mand karnay,

moashi, siyasi aur samaji insaf mayassar

karnay, oon ki zindagi ko aasan aur

asuda bananay aur onhain sehat'mand

rakhnay kay liay mukhtalif qisam kay

Page 3: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

aeni tariqa say tax nafaz karti hai.

Riyasat shakhas ki haisiat waghera ko bhi

is zimun main mad-e-nazar rakhti hai

aur la'yaeni aur gher'mota'alaq tax aed

nahain karti. Ta'kah baichaini parishani

aur haisiat ki kamzori waqo main na

aa'ay. Jaez aur monasab hasal kiay ga'ay

tax say riyasat aeni aur riyasti adaroon

ko mazboot karti hai ta'kah wo behtar

tariqa say riyast kay logoun ki khidmat

anjam day sakain.

Jis riyasat main moamla is kay bar'akas

ho jata hai wahan kharabi kay

Page 4: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

bai'shumaar rastay khul jatay hain.

maslan:

a. 1. logoun ka maal jo tax kay zariay say

hasal kiya giya hota hai, Houses ki tamer

tazein-o-araesh par kharch honay lagta

hai.

2. houses ka kichan zarorat say ziyada

farakh ho jata hai.

3. houses kay logoun kay paiat bhi

qabal-e-mazamat haad tak bhar jatay

hain. Is tara Is maqolay ko amli shakl mil

jati hai:

"kama'ay gi dunyaan khaein gay hum"

Page 5: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

b. la'yaeni doroun par bai'daraigh ropay

lota'ay jatay hain aur os ka return qoum

ko sifar ki surat main milta hai. haan

vadairoun kay saiar sapatay zarour ho

jatay hain.

c. houses ki haisiat logoun kay liay

gher'mowassar aur bai'kar ho kar reh jati

hai. logoun ko wahaan say kuch hasal

nahain ho pata.

d. shashas to shakhas, adaray tak

khadam nahain makhdoon ho jatay hain

aur wo siraf aur siraf in houses kay liay

kaam kartay hain. logoun ko wahan say

dhakay, dabao, daraway, dhamkiaan aur

Page 6: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

jirkiaan milti hain.

e. rishvat ki taraf janay walay rastay

ziyada ho jatay hain. log jis rastay par

bhi chaltay hain os ka ikhtatam rishvat

kay darwazay par hota hai.

f. bai'tahasha tax ki vasoli kay ba'vajoud

puri nahain parti lihaza baroni qaraz

main nijaat samjhi jati hai. is tara

dosroun kay samnay sharmindgi othana

parti hai

halakah damun kay motabaq khud

riyasat kay andar mojood hota aur rehta

hai.

g. Molak kay sar'barah qimati libas main

Page 7: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

malbous ho kar bheek mangnay jatay

hain aur tazheek ka nishana bantay hain.

h. jab houses kay log jinhain misali samjha

jana chahiay, ghalt ho jatay hain to khud

logoon kay ghalt honay main dair nahain

lagti.

i. fard zaat kay khoul say nahain nikal

pata aur her tariqa say apnay faeday kay

liay tag-o-doo karta hai chahay is say

kisi aur ka ya riyasat ka kitna hi noqsan

kayoun na ho raha ho.

j. insaaf mazaaq aur bakaou maal ho kar

reh jata hai.

k. aaghi kay rastoon par kharch honay

Page 8: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

wali raqam ko fazoul aur gher paidawari

samjha janay lagta hai.

aaghi say motala'aq adaray tamatar aur

aalu ki haisiat ikhtayar kar laitay hain

aur onhain maal'dhur logoun kay hath

baich diya jata hai. is tara:

1- in adaroun ka miyaar gir jata hai.

2- aam admi ki ponch say dour ho

jatay hain. natija-e-kar:

a. oon tak aam logoun ki mali hawala say

rasaee dam toor daiti.

b. bipari aur taleem say gher motalaq

bal'kah kitab'dushmun aaghi kay bai'taj

Page 9: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

badshah ban jatay hain.

c. whaan say milnay wali aaghi, aaghi kay

naam par gandgi ki tikka hoti hai.

d. qarz farahum karnay wali qovatoun

kay talimi adaroon ko miyari aur

boland'paya samjha janay lagta hai aur

oon kay qadmoun par chalnay ki koshesh

ki jati hai halankah wo oon kay kalchar

kay motabaq bana'ay gay hotay hain. oon

ka nisaab bhi oon kay mazaj aur zarorat

kay motabaq

tarkeeb-o-tasheel kiya giya hota hai.

e. auroun kay dabao main aa kar riyasti

Page 10: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

zaroratoun asoloun aur nazriyati chizoon

ko hazaf kar diya jata hai.

f. qaraz'dahinda qovat ki zoban ko

bala'tar samjha jata hai aur ossi main,

ossi kay zair-e-assar aur ossi qoum kay

mafadaat kay hawala say taleem di janay

lagti hai.

k. shakhas her lamha baiyaqini kay tanoor

main jalta aur sulgata rehta hai.

l. "choor ochakay chudri aur ghundi run

pardhan"ban jati hai.

m. gher'aeni taxes ki bhar'maar ho jati

hai.

Page 11: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

n. foj ko apnay mokhalif logoun/fariqoun

ya qaraz'dahinda kay mokhalif

logoun/fariqoun kay liay istamal kya jata

hai.

o. zakar ki tawanaee aur kamil

sehat'mandi kay liay sarkari khazanay

lota'ay jatay hain.

Yah to siraf chand eak batain hain jin ka

mein nay opar zikr kya hai.

Baishumaar qorbaniaan day kar hasal

kiya giya Pakistan in qabahatoun ka

shakaar ho giya hai. Log sochnay par

majboor ho gay hain kah agar yahhi

Page 12: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

surat-e-haal aur chalan rehna tha to

issay hasal karnay ki aakhir zarorat kya

thi.

Aaj Bharat aur gher muslim molkoun

main musalman aabad hain aur apnay

apnay zouq, zarorat, hunar aur halaat

kay motabaq zindgi kar rahay hain. Apna

damun bachanay kay liay manfi asraat

kamoun ka kabhi kabhi rola dala jata hai

kah ji woh mar gay khap ga'ay halankah

aisi koee baat hoti hi nahain aur na hi

wahan ki foj apnoun par goliaan barsa

rahi hoti hai. pols chitatar maar rahi hoti

Page 13: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

hai ya pols moqblay main mokhalfoun ko

mara ja raha hota hai.

Hamaray haan maghrab ki tara kay 16

sala BA ka rola dala ja raha hai jab'kah

hamara pehlay hi 17 sala BA hota hai.

pehli tak aatay aatay 3 saal laga diay

jatay hain. es tara abtada mazboot

karnay ki koshesh ki jati hai.

Pehli tak aatay aatay jo 3 saal lag jatay

hain kya wo instarakshan (instruction) ka

amal/hissa nahain hain?!

Page 14: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

kya yah yahaan kay taleem'yafta yang

shehri say amli zindgi kay 2 saal chein

lainay ki danista sazesh nahain?!

Shaed yah sazesh is liay ki ja rahi hai kah

17 saal parh kar taleem'yafta yang shehri

nokri mangay ga lihaza ossay mazeed

instarakshan kay amal main olja dou.

Jab yahaan adaray mazboot hoon gay

kaam karnay kay midan khulay aur

wasee hoon gay to phir kisi ko bahar ja

Page 15: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

kar goroon kay kotoon ko nehlanay ki

bhala kya zarorat ho gi. yah bilkul ghalt

aur baibonyad baat hai kah maghrab kay

log yahaan kay logoon say bhar'kar hain.

hamaray log:

1. maghrab waloon say kahein ziyada

zahein-o-fatein hain. mairi is baat ka

wazay aur zinda saboot yah kah koee bhi

faran made cheez aati hai to os ki eak

nahain kaee naqool market main aa jati

hain aur baz asal say bhi kar'gozari main

behtar aur bhar'kar hoti hain. in naqool

kay tiyar karnay walay shakago return

nahain hotay baz to sakool bhi nahain gay

Page 16: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

hotay onhoon nay edher odher say kuch

na'kuch sikha hota hai.

2. sabr aur bardast ki ziyada qovat

rakhtay hain.

3. bai'haad mehnati hain.

4. ziyada waqt kaam kar saktay hain aur

kartay hain.

5. kaam ko ziyada waqt day saktay hain

aur bohat kam moavzay main daitay bhi

hain.

6. hamaray haan aksiriat aisay logoon ki

hai jo kabhi ba'qaeda instarakshan kay

amal say gozray hi nahain hotay laikin

Page 17: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

kaam ala parhay likhay logoon say

bhar'kar, kar jatay hain.

zara balal ganj kay kisi unparh kharadiay

say mil kar to daikhain aur ossay wo

kaam soonmp dain jo maghrab kay kisi

professor/saens'dan nay kiya hota hai.

woh kahein behtar aur kahein paedar kar

day ga. mein apni is baat ki sanad kay

liay "naam'dav"* aur ayub abbasi"** ko

hawala bananay main koee aar nahain

samjhta.

7. hamari jawan parhi likhi nasal bari

la'jawab aur mehnati hai. wo behtar aur

kam'waqt main acha aur pae'dar kaam

Page 18: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

karnay ki ehliat rakhti hai. baad'qismati

say ossay mowaqay hasal nahain ho

patat.

khuda kay liay:

* is qoom par reham karain aur is kay

wasael ayashi aur baad'mashi main na

oraein.

** jawanoon say kaam aur amli zindgi

kay 2 saal na chinay jaein.

*** taleem ko biparioun kay hath na

baichain.

**** adaroon ko awaam ka khadam

banaya ja'ay aur onhain awaam kay liay

Page 19: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

kaam karnay par majboor kiya ja'ay.

***** oudhaar ki dokandari band karain.

Bawar rahay takht taj aur waqt kisi ka

sagay nahain. Waqt kay liay opar say

nichay aur nichay say opar lana aur lay

jana mushkal ya na'mokin nahain.

Pehloun kay hashr say ibrat lain warna

Allah ki lathi bai'aawaz hai aur os kay

ghar dair hai, andhair nahain. Mein in

satoor kay zariay ba'ikhtayar tabqoun ko

chitavni daita houn kah oon ka hashr

bohat hi bora ho ga yahhi nahain wo kal

ko Allah kay hazoor koon'sa monh lay kar

jaein gay?!

Page 20: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

------------------------

* khaka, Chand Humasar az Dr. Molvi

Abdul Haq Sahib

** Khaka, Hum'nafsan-e-rafta az Prof.

Raseed Ahmad Sadiqi Sahib

_________________

Sat Mar 03, 2012 11:18 pm

I K QAZI

Moderator

Germany

Page 21: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Dunya Mey Wo Qoamein Taraqi Karthi

Hain Jo sab sey pehlay Apni Tarjeehaat

Ka Tahaiyun karthi Hain.Jiney Apnay

Nizaam aur Sood O Ziyaan Ka Ahsaas

Ho.Hum ney Tou Ba hesiat e Qaom Abhi

Tak Teh hi Nahih Kiya K Koansa Tarz e

Hakoomat Ya Nizaam Humari Zameeni

Haqaiq Ki Sahih Tarjumani Kar K Unn Ka

Hamali Hal Humey Fraham Kartha

hai.Waisey Nizaam ya Tarz e hakoomat

Ba Zaat e Khud Koi Bhi Acha Burra

Nahih hota.Balkay Iss Ko Chalanay Waley

Ki Khaloos e Niat,Salahiyat aur Uss Ka

Page 22: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Kirdaar Iss Mey Numaya Kaam sar

Anjaam Dehta HaiHum Loag Maghrabi

Jamooriaya Ki Bhondi,Be Ja Taqleed

Balkay Iss Ka Raag Tou Allaptay Rehtay

Hain Lehkin Hum Ney Kabhi Bhi Iss Ka

Na Tou Beejh Boaja Hai.Nahi Humney Iss

K Liye Zameen Humwaar Ki Hai Aur

Nahi Humaray Paas Iss Maghrabi

Jamooriat K Kamyaabi K Lawaazmaat

Mojood Hain.Har Aik Hawa Mey Muhalik

Jamooriat Ka Tazkara kartha hai.Uss Ki

Khoobiyan Bayan Kartha Hai.Lehkin Iss K

Liye Jin Aqdaar ko apnaney Ki Zaroorat

Hoti hai.Wo iss sey Mubaraa Hota Hai.Tou

Aisey Mey Ye Muhaliq Nizaam Kaisey

Page 23: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Phalay/Phoolay Ga.Kis Tarah Hum Iss K

Meetay Samaraat sey Hum Mustafeed Ya

Lutaf andoz ho Sakengain.Jab 64 saal

Guzarnay K baad Bhi Hum Mey Wo

Shahoor Ujagar Nahih Huwa Jo k humey

Iss Qabil Bana saka Ho K Hum Achay

Burray,Kalay Aur Safaid Mey Farq Kar

saken.Sahih Numaindon Ka Intikhab Kar

saken.Aur Jin Loagon Ko Hum Muntakhib

Kar Lehtay Hain Tou Unn sey Kis Tarah

Jawab Talab kar saken.ya wo Kis tarah

Humey Jawab talab Hon.Ajj Tak Hum

Loag Janwaron K Raiwarr Ki Tarah Har

Murli/Baasari Bajanay Waley K Peechay

Andhi Taqleed Mey Chal Parrthay

Page 24: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Hain.Aik Aur Wazeha Farq Jo Maghrib

Aur Hum Mey Wazeha Hai K Wo Loag Dil

O Jaan Sey Apni Siasat Mey Bila wasta

Ya Phir Bil Wasta Shareeq Hotay Hain.Wo

Apney Numaindon Ka Intikhab Qaomi

Mufaad Mey Kartay Hain.Jin K Samaraat

Phir Un Tak Bhi Poanchtay Hain.Jab K

Hum Loag Pehlay Tou Apni Pait Ki

Soachtay Hain.Apney Zaati Mufadaat Ka

Aur Phir Zaat/Biradari,Siasi

Wabastagion,Be Ja shaksiayat

Parasti,Zaati Pasand/Na Pasand

Waghaira Ki Buniyaad Par Siasi

Jamahaton Ya Numaindo ko Muntakhib

Kartay Hain.Intikhab K Baad Is Raij

Page 25: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Farsooda Nizaam Mey Na Tou Humara

Hisa hota Hai Nahi Dilchaspi Barqaraar

Rehti Hai.Jab Tak Hum Shaoori Taor Sey

Baidaar Nahih Hongain.Apni Tarjeehaat

Ka Taahaiyun Nahih Karengain Tou

Humari iss dagargoon Halat Mey Koi

Numaya Tabdeeli aanay Ka Koi Imkaan

Nahih.Tha aankay Hum Loag Aik

muntashir Rewarron Ki Bajay Aik Zinda

qaom Honay Ka Saboot Hamli Taor sey

Fraham Karen.Yani Humey Apni Zaati

Mufadaat,Zaat/Biradari,Shaksiyat

parasti,Andhi Taqleed,Siasi wabastagion

waghaira K Khoalon(Shells) Sey Nikar Kar

Qaom Ki Ijtemai Mufaad mey Faislay aur

Page 26: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Iqdaam nahih Karengain.Ye ab Humaray

Soachnay ki aur Samajhnay Ki Baat Bhi

Hai Aur humaray Liye Lamha e Firiya

Bhi.

_________________

Mon Mar 05, 2012 5:08 pm

Dr Maqsood Hasni

punjab

aap ne tovajo farmaee es ke liay

ehsan'mand houn.

aap ne darust farmaya hai.

Page 27: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

_________________

Thu Mar 08, 2012 2:36 pm

I K QAZI

Moderator

Germany

Bhai!! Hum Loag Khud Apnay Dushman

Hain.Is Liye K Hum Ney Islam ki Sahih

Rooh aur Taleemat Sey Roogardaani K

Murtakib Huway Hain.Isi Liye Humey

Apnay Kiye Ki Saza Mil Rahi Hai.Hum

Par Na Ehl,Bad Unwaan aur Ghair Mulki

Page 28: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Agent Ba Taor Hukmaraan Musalat Kar

Diye Gaye Hain.Humar Mulk Aur

Mohashra Andar sey Khoakla Ho Kar

Toot Poot Ka Shikaar hai.Jis Ki Waja Sey

Bahir Ki Dushman Qouwaton ko Dakhal

Andaazi Ka Mohqa Milta Hai.

Kis Da Dosh si Kis Da Nahi Si

Aey Galaan Hun Karan Diyan Nahi

Veley Lang Gaey Tauba Waley

Jo Hoya ey Hona ee Si

Page 29: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Te Honi Rokyan Rukdi Nahi

Gal Fir Eiven Mukdi Nahi

Kuj Unj Vi Rahvaan Okhiyan San

Kuj Gal Vich Gham Da Tauk Vi Si

Kuj Sheher De Lok Vi Zaalim San

Kuj Saanu Maran Da Shok Vi Si

_________________

Thu Mar 08, 2012 8:45 pm

Dr Maqsood Hasni

Page 30: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

punjab

aap darust farmatay hain baat issi tara

se hai

_________________

Read more:

http://www.forumpakistan.com/pakistan-dushmun-apna

y-ya-gher-hain-t85953.html#ixzz4FhUID56C

Page 31: Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay Sagay Nahain

Takht, Taj Aur Waqt Kisi Kay

Sagay Nahain

Maqsood Hasni

Abuzar Barqi Kutab'khana

July 2016