Payame insaniyet

53
TASHRI ROOHAANI TAALIMAAT 1) i)Ghusal E Haq:.. Nafs ki nafi hi mera Ghusal E Haq ii) Taharat E HAQ: Halaal rozi ka khana Tahaarat-E-Haq: PARA NO : 1, SURAH NO : 2, SURAH : BAQRA, AYAT: 62. MAN AAMANA BILLAAAHI WAL YAUMIL AAKHIRI WA AMILA SWALIHAN FALAHUM AJROHUM INDA RABBIHIM WALA KHAUFUN ALAIHIM WALA HUM YAH ZANOON. Jo log nafs ki nafi karke Zaat ko pa lete hai , wohi din inka aaqiri din honga .Ab jo bhi amal honga Zaat ke zariye honga jo amal Zaat ke zariye honga woh amal saleh honga aur jo amal saleh honga is ka ajar Allaah ke paas mehfooz rahenga.Ab aise

Transcript of Payame insaniyet

Page 1: Payame insaniyet

TASHRI

ROOHAANI TAALIMAAT

1) i)Ghusal E Haq:.. Nafs ki nafi hi mera Ghusal E Haq ii) Taharat E HAQ:Halaal rozi ka khanaTahaarat-E-Haq: PARA NO : 1, SURAH NO : 2, SURAH : BAQRA, AYAT: 62.MAN AAMANA BILLAAAHI WAL YAUMIL AAKHIRI WA AMILA SWALIHAN FALAHUM AJROHUM INDA RABBIHIM WALA KHAUFUN ALAIHIM WALA HUM YAH ZANOON.  Jo log nafs ki nafi karke Zaat ko pa lete hai , wohi din inka aaqiri din honga .Ab jo bhi amal honga Zaat ke zariye honga jo amal Zaat ke zariye honga woh amal saleh honga aur jo amal saleh honga is ka ajar Allaah ke paas mehfooz rahenga.Ab aise logo ko na khauf honga aur na ranj honga.Note: Is aayat ki roshni me nafs saakit ho jata hai,har amal Zaat ke zariye se hota hai, Is liye mujme koi haraam ki gizaa daaqil hone se Zaat saakit ho jati hai .Nafs ko daqal dene ka maukha mil jaata hai isliye Tahaarat E Haq tooth jaati hai.

iii)Wazu E Haq:

Page 2: Payame insaniyet

Maqlooq ki arziyaton ko bardash karna. iv)Wajood E Haq:YA AYYUHAL LAZINA AAMANU WA AAMILUS SWALIHATIYA : Zaat ka wajood aa gayaAYYUHAL : Aye nafs ALLAZINA AAMANU : (nafs ka jawaab) Aye Allaah main tuj se razi hoon kyon ke too ne mujko harkat de haiWA AALMILUS SAALIHATI : Kyon ke ab Zaat e Haq ka wajood aa gaya hai is liye amal Saleh hi honga.

2) i) Ilm ul Islam.

ISLAM = NAFS SALAM=ROOH - Rooh se hi amal karna.Nafs ko saakit karna,  Rooh ko zinda karna, Toh Rooh se hi amal kar ke islaam ke daire mein shareeq hona hain.Bagair Rooh ko zinda kare ke Islam mein daakhil nahi ho sakte . Yeh hain Ilm ul Islam.ii)Ilm ul Yakeen : Ke daira knowledge tak hai you know about Allaah his supreme.Tamaam baaton ka pas ilm howa. Quran pade hindu pade to imaandaar nahin hote.

iii)Ain Ul Yakeen :Jo baten sunte the ankhon se hota howa dekha. iv)Haq Ul Yakeen:Tum jab tak amal nahin karoge tab tak tumko faida naa honga.Islam dekhne mein accha samaj mein, dushwaari amal mein.v)ISLAM   - AS SALAM:ASSALAAM ALAI KUM WA BARAKATAHU

Teri nafs saakit ho jaaye tere ander

Page 3: Payame insaniyet

Allaah ki Zaat bankar zinda ho jaaye aur tere har amal se Allaah ki maqlooq ko khair o barkat pahuche.AS SALAM:Is ko samajne ke liye pehle ISLAM ko samajhna honga.vi)AIN-UL-ISLAM:Peer ka amal hain (apne peer ka amal hain) peer ka har amal Rasool se talluq rakhta hain.vii)Haq ul Yakeen : Haq ul Islaam:Jo peer ka amal tha woh hamare saamne pesh kiya.jab tak us par hum amal nahi karenge Haq ul Yaqeen ke daire ko choo bhi nahin sakte agar koi shaks Islam ke maine bhi na samajh ta ho magar phir bhi woh sharyat par amal karta ho aise shaks ka Islam mein us shaks ka kya muqaam hain - woh hain - maanta hain magar pechaanta nahin hain - Bahut bada KUFR hain -jaise ke Nafs-e-Lawamma.

 

3)MUSALMAAN HONE KE LIYE SABSE AHAM SHART:MAN ARAFA NAFSAHU FAQAD ARAFA RABBAHUTum jab tak apne aap ko nahin pehchaanoge apne Rab ko bhi nahi pehchaan sakte  Jab tak tum Rab ko nahin pehchaantee Islaam ke daire mein nahin aa sakte.Is liye tum ko Ilm ul Haq Yakeen ko samajna honga.Yeh us ki pehchaan hain jis ko Allaah kehte hain tasavvur mein.Pehla Stage:Ain-ul-Yaqeen huwa.Dushra Stage: Mera Peer-Structure of body ko use kar kar mere peer ke amal pesh kiya jis ko hum Kalma kehte hain.LAA-ILAA HA ILLALLAAAHU yeh Ain-ul-

Page 4: Payame insaniyet

Yakeen hain jab tak is Kalma ko na samjhe amal nahin kar sakta.Jab is kalma ko samah kar main nafs ko saakit kar jaoonga aur apne har amal ko Kalme ke hawale kar jaonga to zarooor mera har amal ko duniya dekh kar Haq ul Yakeen ka darja dege.Kyon ke Quran shahid hain PARA NO : 1, SURAH NO : 2, SURAH : BAQRA, AYAT: 62.MAN AAMANA BILLAAAHI WAL YAUMIL AAKHIRI WA AMILA SWALIHAN FALAHUM AJROHUM INDA RABBIHIM WALA KHAUFUN ALAIHIM WALA HUM YAH ZANOON.  Jo log nafs ki nafi karke Zaat ko pa lete hai , wohi din inka aaqiri din honga .Ab jo bhi amal honga Zaat ke zariye honga jo amal Zaat ke zariye honga woh amal saleh honga aur jo amal saleh honga is ka ajar Allaah ke paas mehfooz rahenga.Ab aise logo ko na khauf honga aur na ranj hongaQuran keh chuki jis ka nafs saakit hoga us ka har amal swaleh hoga to zaroor us mera har amal Haq-ul-Yakeen hoga.Jis ko log MUHAMMADUR RASOOLULLAH kehte hain.

4)KALME KI TASHRI

Kalma mein Do(2) juz hain 1) Allaah ki taareef karwata hain -LAA ILAAHA ILLALLAAAHU 2) Quran ki pehchaan karwata hain - Muhammadur Rasoollullaaahu Agar tum ko Quran samajhna hain,padna,amal karna hain to nafs ko samajhna honga .Jab tak tum nafs ko naa samajte to musalmaan kehlaane ke Qabil nahin.Jis tarah Allaah Taala ek power hain usi tarah Mohammed (S.A.W.S) Allaah ka kalaam hain jise hum Quran ki shakal mein dekh rahen

Page 5: Payame insaniyet

hain Kyon ke Mohammed(S.A.W.S) ka har amal shariyat ka paband tha aur aap sarapaa chalta phirta Quran the.Kyon ke aap ne khud irshaad farmaaya "ANA MIN NOORIL LAAHI KULLU SHAIIN MIN NOORI"Main Allaah ke Noor se paida kiya gaya hoon aur baaqi sab kaayenat mere Noor se paida kee gayee hain.Allaah ne jitne Paigambar bheje 1 lakh 24 hazaar Allaah ko manwaane ke liye phir bhi naakaam rahen.Sab ke akhir mein Allaah taala nein Khud apne Noor ko Mohammed(S.A.W.S) ke shakal mein utara jis ki roshni saare aalam ko munnawwar kar gaye aur taa Qayamat tak munnawwar karti rahengi.Beshak Adam(A.S) Abu Al Bashar hain lekin mein Abu Al Rooh hoon.Mujjassim alam se Adam mere baap hain Roohaani alam se mein Adam ka baap hoon kyon ke Allaah Taala nein jab Rooh ko takhleeq karne ka vaada kiya sabse pehle main Rooh ko takhleeq kiya uske baad mere Rooh se hi Adam ki Rooh takhleeq kee gayi aur yaad rakho main yeh Rooh ka silsila Qayamat tak jaari rahega kyon ke har Rooh meri Rooh se munsaliq(attach) hain.Is liye Allaah taala nein meri Rooh ko kitaab-e- haq yaane Quraan ko dubo diya hain.Zahir hain jab meri Rooh Quraan mein doobi howi hain kaayenat ki har bashar ki Rooh bhi doobi howi hain misaal ki taur par Quraan mein Allaah taala khud irshaad farma rahen hain PARA 25, SURAH NO 42 , SURAH SHURAH  ,AYAT 16 17.                  ALLAAHUL LAZI ANZALAL KITABA BIL HAQQIWAL MIIZAANAllaah woh Zaat hain jo tere mujjassim

Page 6: Payame insaniyet

mein dhadakte hain Rooh ki shakal mein aur teri jism ke har harakkat ke waqt yeh Quraan teri nafs aur Rooh ke darmiyaan mizaan ban jaati hain kyon ke Quran jis ko hum chalte phirte Rooh ke amal mein dekh rahen hain taa qayamat tak ke liye har insaan ko rehnumaai karega basharte ke kalma tayyaba sahi pada jaaye "LA ILAHA ILLALLAAAHU". Woh zaroor uski Rooh zinda hogi nafs saakit hogi kyon ke har insaan ki Rooh mein Kalaam-e-Haq Quran dooba howa hain.Is liye Allaah Taala ne nafs se irshaad farmaaya : Jab koi baccha maa ke paet se paida hokar mar jaata hain woh jannat mein jaaayega chaahe woh kaaafir ka hi kyon na ho,Is liye Allaah taala har insaan ko apni fitrat per paida kiya ain aur Allaah taala ki fitrat Rooh ki shakal mein chalte phirte Quran hain.Agar tum kissi insaan ko Quran samjhana hain sab se pehle Quran ke likhne wale ko samajh na hain uske baad uske nafs ko samajh na honga tab jaakar use imaan naseeb hoga.Yeh do(2) cheez se hatkar aadmi Aalim,Qaazi,Haafiz ,Qaari,Muttaqi,Parhezgar,aur kitna hi bada amal ho,magar phir bhi is ka amal Roohaani aitbaar se bilkul naakaara hain aur yeh amal isko koi fayda na dega kyon ke Allaah taalah ko maanta to hain par pehchaanta nahin . Rasool ke tareeke par amal karta hain par pehchaanta nahi Quran padta hain lekin usko bhi pehchaanta nahin agar khud ko maanne ki buniyaad par hi usko baksha jaana chahiye to mere nazar mein saari duniya saare mazhab sab ko jaka haqdaar banna chahiye magar nahi jab tak"MAN ARAFA NAFSAHU FAQAD ARAFA RABBAHU"Jis ne apni nafs ko pehchaana usne

Page 7: Payame insaniyet

apne Rab ko pehchaana waise Quran mein Allaah taala khud farma rahen hain PARA 26, SURAH NO 50 , SURAH KAAF  ,AYAT 16 17."WA NAHNU AKHRABUHU MIN HABLIL WAREED"Bande mujjasima tera hain dhadkan meri hain jis ko Rooh kehte hain .Is liye imaan ki buniyaad Allaah taala uske Rooh ki pehchaan par hi kii gayi hain.Ab aap log bhi faisla kar lo Allaah taala ko manna iman hain yah pehchaana imaan hain . Ab Mohammed (S.A.W.S) jo tafseer saamne aayi hain yeh Structure of body se tally karke dekho .Yeh saari baate Mohammed (S.A.W.S) mein mil jaayengi .Structure of body : Adam (A.S) ki hain zahiri aitbaar se Dhadkan : Nabi ki hain baatini aitbaar se.PARA 21, SURAH NO 33 ,SURAH AL AHZAAB , AYAT 5 AN NABIYU AWLA  BIL MUMININA MIN ANFUSIHIM WA AZWAJUHUU UMMAHATUHUM.Yeh tumhare liye Quran ka reference hain Quran khud kehta hain har nafs ke saath Nabi maujood hain phir tum kaise jhutla sakte ho ke nafs bahayat nahin hain yeh unka ilm-e-gayb hain nahi hain.Nafs Allaah taala ki Zaat ki shakl mein Quran ki shakl mein har nafs mein maujood hain . Yeh khud Quran ka faisla har kissi ko iqtiyaar hain nafs ko ilm-e-gayb nahin hain yeh bahayat nahin hain yeh koi Allaah wala bahayat nahin hain kyon ke Rooh ki shakl mein sab log Qayamat tak zinda hain aur jo bhi amal tum Rooh se karoge woh amal tumhare peer ka hi nahi hoga balke tamaan

Page 8: Payame insaniyet

Ambiya,Sahaba,Saleheen aur tumhare  Rooh ka amal hi hoga.Kyon ke Quran mein Allaah taala farmate hain PARA 2 , SURAH NO 2 ,SURAH BAQRA AAYAT 162-163                            WA ILAAAHU KUM ILAAAHUM WAAHID LA ILAAAHA ILLA HUWAR REHMAA NUR-RAHEEMAllaah taala saaf irshad farma rahen hain hum nein apne huqm se saari kaayenat ko taqleeq ki jo har zarre ki dhadkan hain aur jin o ins mein jo log apni nafs ki nafi karte hain is kalme ke zariye LA ILAHA ILLAHUWAR REHMAAN NIR RAHEEM . Woh sab Allaah wale Roohani aetbaar se ek hi hain kyon ke yeh sab mein Rooh yaani meri Zaat se hi dhadakti hain is liye main nein in sab ko paayam e najaat de chuka baqi muqaddima main tamaam insaano per chodta hoon faisla khud kare yah zaahiri amal Islam nijaat dila sakta hain yah Roohani amal us ko neejaat dila sakta hain.

 5) 5 PILLARS OF ISLAM

Kalma :Yakeen mera kalma hain mein kuch bhi nahin hoon Allaah hi sab kuch hain is baat ka Yakeen  hain .Yeh hi mera kalma hain .Namaz: Khauff meri namaz hain .Khauff - Kisi bhi amal mein mera nafs involve na ho jaye woh mera khauf hain.Har amal mera Rooh se hain.Roza:Sabr mera roza hain Duniya chahe mujhe kitna sata de mere andar jo Allaah hin woh sabr karega.Main to saakit hoon kyon

Page 9: Payame insaniyet

PARA 2, SURAH NO 2 , SURA BAQRA , AYAT 152-153INNAL LAAAHA MAA-AS SABIREENMeaning: Zaat ki dhadkan se sabar hi hoga nafs harkat karegi to shirk hoga.Nafs sabar nahin karsakti Rooh hi sabar karti hain yahi mera roza hain.Zakat:Esar o Qurbani meri zakat hain .Zakat har zaroorat par apne aap ko doosro ko taru dena. Yehi meri zakat hain.Haj:Mera nafs meri Rooh ka tawaaf karti hain. Yehi mera haj hain aur isi ko kaabe haq kehte hain.

6)HAMARE KHOON MEIN KYA KYA DAUD RAHA HAIN.

EXPLANATION OF PARTS OF ROOH , PARTS OF BLOOD .

HAWA +   MITTI   +    AAG       +      PAANI ==>KHOON(ROOH)   ( NAFS)     (SHAITAN)   (FARISHTE)

Nafs : Khoon ka material hi nafs hain.Farishte : Aur is ko paani milne ke baad khoon jab patla hota hain woh Farishte hain.Aag : khoon ke har khatre mein shaitaan ban kar daud raha hain.Hawa : Rooha hain jo teeno cheexo ko harkat de rahi hain(mitti aag paani jo hain nafs shaitaan farishte).Jis ko hum Rooh kehte hain wo hi Allaah ki Zaat hain jis ke refernce ke liye Quran mein maujood hain PARA 26, SURAH NO 50 , SURAH

Page 10: Payame insaniyet

KAAF  ,AYAT 16-17.

"WA NAHNU AKHRABUHU MIN HABLIL WAREED"Meaning : Bandey mujjassima tera hain , dhadkan meri hain aur Hadees MAN ARAFA NAFSAHU FAQAT ARAFA RABBUHU.Meaning: Nafs saakit hain,aur jab guar aur fikr karege apni harkat par to us ko jab ehsaas hoga ke uski nafs ko harkat dene wali Allaah ki Zaat Rooh hain.FUNCTIONS OF 4 PARTS : (KAISE OPERATE KARE )AAG 1) Shaitaan ka kaam hain nafs ko gumraah karna aur jahanum ki taraf dhakelna.MITTI 2) Nafs ka kaam hain bahut jald shaitaan ke behkaawe mein aa jaana.Jakar apni neeyat ko khaRab karna.Apni body ko bure amaal ki taraf movement dena.Jab ke nafs bejaan hain body ko movement nahin de sakti.MOvement dena Rooh ka kaam hain nafs ko saza isliye hogi kyon ke bejaan hokar jaandaar hone ka saes kiya apni meeyat ke zariye.(Rooh keh rahi hain nafs se) -> Teri neeyat khaRab thi is liye mein amal kar gayi.Agar ke tu saakit hoti;agar teri body se bura amal ho bhi jaata to is ki zimmedaari mujh par thi is liye main har nafs se yeh sawal kar chuka hoonYA AYYUHAL LAZINA - Rooh keh rahi hain nafs se - Kya haal hain tere wajood mein aane ke baad -Agar koi nafs saleh hain to jawab degi AAMANU mein raazi hoon teri is Rooh ki mera har amal ko Zaat ke hawale karti hoon kyon ki jo bhi amal Rooh se hoga woh amal saleh ho hoga.HAWA 3) ROOH : HAWA hi Rooh hain jis ko hum Rooh kehte hain jo har zarre mein dhadak rahi hain is liye hum us ko Allaah u Akbar kehte hain.

Page 11: Payame insaniyet

PAANI 4) Farishte : Paani Farishte hain jism mein insaan ke khoon ke saath daud rahe hain .Jis ko Allaah ke Rasool (S.A.W.S) ne farmaya -Allaah taala insaan ko harkat karne ka ikhtiyaar deta to duniya mein andhera kar dalta tha is liye Allaah taala ne is ke mujassime ko aur khoon ki har khatre ko 10 fariste ke hawale kar chuka jo2 pairo par hain2 hath par2 shoulders par insaan ke aamal likhne wale1 dimaag par1 ankh par1 zaban par1 heart parAb yeh farishte wohi moavement karte hain har insaan ki body ko jo Allaah taala insaan ke mujaasime ko banane ise 40,000 saal pehle har insaan ki taqdeer likh di aur taqdeer likhne ka ikhtiyaar Allaah taala ne sirk kalam ko diya aur kalam wohi likhega is nafs ki jo fitrat hogi is mein Allaah taala ki mashiyat (razamandi) ka koi dakhan nahi hai Hai! Re Bande! teri badnaseebi banaya tah banda ban gaya darinda . Yeh tere naseeb ka kasoor hain.AB IN KO CONTROL KARNE KE LIYE IN CHARO KE OPERATING KO SAMAJNA HOGAi) ROOH KAISE CONTROL KIYA JAATA HAIN(Rooh ke saath shaitaan ko attach kare ke Rooh ko up aur shaitaan ko down rakha hain) Apne peer ke bataaye howe tareeqe Kalma padna hoga,har woh amal,tere peer ke tareeqe par chalna honga kyon ke peer kalma practical hain . Koi insaan raah chalte howe Quran pad kar ya Hadees pad kar ya alim,ya moulvi

Page 12: Payame insaniyet

ki degree haasil kar ke kissi ko bhiimaan ki taraf nahin raghib kar sakta,jismaani musalmaan ho jaayega Roohani nahi kyon ke Quran mein zikar hain is baat ka ay Nabi (S.A.W.S) keh do in logo se yeh jo bhi neik amal kar rahe hain apni nafs ke zariye yeh sirf Islam hain agar in ko imaan ki taraf laut na hain to apne jaane e aziz nafs ko Qurbaan karna hoga. Jaise ke Allaah taala ne farmaya Quran meinPARA SURAH AAYATATIUL LAAHU WAL ATI UR RASOOL WA ULIL AMRI MINKUM Meaning: Agar tu Allaah taala aur uski Rasool (S.A.W.S) ki etaat karna chahta hain to mere un bandoun ki etaat kar jo is kalme ke zariye mujhe pehchaan liye hain aur apne aap ko kho chuke hain(fanha ho chuke) is liye jab tum apne peer ke bataaye huwe zikr wa wazaif ko kasarath se karoge to tumhaari Rooh powerful ho jaayegi aur tumhaare andar ki aag jo shaitaan ban kar daud rahi hain woh dab jaayegi woh waswase to zaroor dalegi tumhe (yaani nafs ko) lekin tumhaari Roohaani taakat ke aage na shaitaan ki kuch chalegi aur naahi kuch nafs ki chalegi.Is mein ek positive ek negative hain . Positive + Rooh hain negative - shaitaan hain . Agar zikr karega kasarath se to + up rahenga - down rahenga.ii)MITTI NAFS KAISE DABAYA JAA SAKTA HAIN -(Farishto ke saath nafs ko Attach kare)Nafs sirk namaaz ke zariye dab ti hain woh bhi namaaz-e-Roohani ho.Nafsaani namaz se aur bhadakti hain.Roohani namaz woh hain jo tumhare peer ke tareeqe par padi jaaye kyonke namaz farishto ki sifat hain is liye namaz padne se nafs dab jaati hain

Page 13: Payame insaniyet

.Is mein bhi ek + hain ek - negative hain + farishte - nafs hain .Agar tu namaz kasarath se pade ga to + up - down rahege.

 7)ALLAAH KA SHUKAR KAISE ADA KARNA:Shukr hain Alhamdulillaah:Aaj tak nafs ki har khawish ko poori hone par Allaah ko sukhriya kaha (shukr hain Alhamdulillaah).Jab ke bilkul galat hain yeh ,hum Allaah ko pehchaane nahi to shukr kaise ada karege,Shirk hoga.Alhamdu lillah ke maine hain jis ka nafs saakit ho jaaye uske andar uski Rooh zinda ho jaaye is ke maine hi Shukr hain, shukr woh hoga jab tera nafs mar jayega aur Rooh zinda hogi.

8 ) KYA QURAAN ILM E HAQ HAIN ?Quran Ilm E Haq nahin ho sakta Ilm E Majzi hain Quran kalam-e-haq hain kitaab-e-haq hain kyon ke is ko Allaah ne kalaam kiya hain.Quraan Ilm-E-Haq hota to sab se pehle shaitaan ko iska fayda pahuch ta kyon ke dono alam mein Quraan ka jaanne wala padne wala shaitaan hain is liye Allaah ne farishto par faukhiyat dee. MAALIMUL MALAKOOT(Teacher) : ka khitaab dekar saare farishto ko dars dene ka kaam saup diya tha Is ke bawajood bhi Shaitaan itna bade alim hone par bhi Allaah ko nahin pehchaan saka.Is liye Allaah ne laanate karar diya. Agar Quran Ilme Haq hota to sab se pehle use maloon Shaitaan ko Allaah ki lalach se bacha leta.Is liye Quran Ilm-e-Haq ho nahi sakte Quran sirf Ilm-e-majaazi hain.

Page 14: Payame insaniyet

Quran ko samajh ne ke liye sab se pehle Quran ko likne wale ko samajh na hoga. Uske baad tumko ilm me Haq samajh mein aayega.Jab tak tum Allaah ko nahi pehchaanoge tab tak tum ko Ilme haq samajh mein nahin aayega kyon ke Allaah ki pehchaan Ilme Maarifat hi Ilme haq hain.

9)Ilme Maarifat ko paana hain to tujhe in 4 madarij se guzarna hogai) FANAFIL WAJOOD ii)FANAFIL SHAIKHiii)FANAFIL RASOOL iv)FANAFIL LAH

i)FANAFIL WAJOOD :Kalme mera pul surat hain - Kalme nein mujhe bacha liya.i)FANAFIL WAJOOD :Khauff ne mujhe beemar kar dala.ii)FANAFIL SHAIKH :Shauk ne jala dalaiii)FANAFIL RASOOL :Mohaabat ne mujhe fana kar dala.iv)FANAFIL LAH :Allaah ne mujhe zinda kar dala.

Kalma pad kar –wajood khauff - wajoodShauk -Peer ki saubat mein baithna to peer hat kar Rasool pesh kar diya.Mohabbat - fanafil Rasool.i)Fanafil Wajood:Peer ki sohabat se kalme ke zariye se ilm aur khauff se bimaar ho gaya."Zindagi bhar namaaz padte rahen tilawat aur zikr karta raha phir bhi mujko Allaah nazhar na aaya Hay re meri badnaseebi galti se kissi ko peer maan bhaita Jab uski nazar mujpar padi to khauff se Allaah nazhar aaya."ii) Shauk : Fanafil Shaikh: Jab main

Page 15: Payame insaniyet

Kalma padkar Nafs ko Saakit kar gaya main apne peer ke har amal ko Quraan ki is aayat se maafiq paayaPARA NO : 1, SURAH NO : 2, SURAH : BAQRA, AYAT: 61-62.MAN AAMANA BILLAAAHI WAL YAUMIL AAKHIRI WA AMILA SWALIHAN FALAHUM AJROHUM INDA RABBIHIM WALA KHAUFUN ALAIHIM WALA HUM YAH ZANOON.  Jo log nafs ki nafi karke Zaat ko pa lete hai , wohi din inka aaqiri din honga .Ab jo bhi amal honga Zaat ke zariye honga jo amal Zaat ke zariye honga woh amal saleh honga aur jo amal saleh honga is ka ajar Allaah ke paas mehfooz rahenga.Ab aise logo ko na khauf honga aur na ranj honga…Is aayat mein Allaah taala bande ko bari karte hain aur usko har amal apne Rasool ke zimme lena hain is liye agar koi mureed apne peer ke amal ko apnaenga aur apne nafs ko saakit karega har amal apne Rasool ke zariye karega woh amal naa hi mere peer ka honga na he mera hoga balke mere Rab ka honga.iii)Fanafil Rasool:Jab tak koi bhi Peer ya Alim apni nafs ko saakit karega apne har amal ko Rasool ke hawaale nahin karta to kabhi bhi Muhammed (S.A.W.S) padne ka haqdaar nahin hota agar kissi ko Muhammed (S.A.W.S) samajna hain to usse pehle Quraan ki is aayat ko samajna honga.PARA 27 , SURAH NO 57,  SURAH AL-HADEED : AYAT 18 TO 19WAL LAZINA AAMANU BILLAAAHI WA RUSOOLIHI OOLAAAIKA HUMUS SIDDI QOONA WASH SHOHADAAU INDA RABBIHIM LAHUM AJROHUM WA NOORO HUM.

Page 16: Payame insaniyet

Jis ne nafs ki nafi ki usne Allaah ko paa liya aur apne Rasool ki etayat kar chuka Aise log ka naam Siddiquin ke daftar mein darj karte hain aur Shaheed-e-aazam ka qitaab dete hain .Yahi nahin balke aise bando ko Allaah taala saraapa Noor bana dete hain.Jab unki nazar kissi narm cheez per padte hain to waha per Allaah ka naam likha jayenga.Kyon ke isi liye Allaah taala unko saraapa Noor bana dete hain.Jab bhi banda is ayat ke raaz se waakif honga wohi Fanafil Rasool kehlaayenga.iv)FANAFIL LAH : Allaah ne zinda kar daal . Jab koi banda (structure of body) ko samaj kar Kalme Tayyab padta hain uski nafs saakit ho kar Rooh zinda ho jaati hain.Uska amal uska apna nahin hota balke uske Rab ka hota hain jiske talluq se Huzoor(S.A.W.S) ne Irshaad farmaaya "ANA MIN NOORIL LAAHI KULLU SHAIIN MIN NOORI"Main Allaah Taala ke Noor se paida kiya gaya hoon tamaam kaayenaat ko mere Noor (Rooh) se paida kiya Huzoor (S.A.W.S) ne irshaad farmaaya Adam(A.S) Abu-Al-bashar hain main Abu-al-Rooh hoon.Adam ki Rooh ka bhi baap hoon kyon ke Alah taala in sab se pehle meri Rooh ki taqleeq ki uske baad Adam (A.S) ke Rooh ko taqleeq ki.Is liye Allaah taala Quran mein Irshaad farma rahen hainPARA 21, SURAH NO 33 ,SURAH AL AHZAAB , AYAT 5-6AN NABIYU AWLA  BIL MUMININA MIN ANFUSIHIM WA AZWAJUHUU UMMAHATUHUMTumhare Nabi tumahre nafso se qareeb hain tumhaare khoon mein shaamil hain aur koi banda is muqaam per

Page 17: Payame insaniyet

pahuch jataa hain ,ankh,pair,hath ban jaate hain koi amal is ka nahin hota balke is ka har amal is ke Rab ka hota hain .Jab tak yeh Rooh se amal karta rahenga tab tak iski har dua Qubool ki jayengi.Jab kissi amal mein is ka nafs maail ho jaaye woh iske Rab ka nahin balke iske khud ka amal hoga. Jis ko amal-e-kufr kehte hain is liye is ki koi dua qubool nahin ki jaati balke is ki har dua rad ki jaati hain jab koi banda is muqaam per pahuch jaata hain us ko zarror Fanafill Lah ka muqaam mil jaata hain.ALA INNA AULIYA ALLAAHU LA KHAUFFUN ALAIHIM YAH ZANOONAllaah taala farma rahen hain yeh log mere dost hain inko har ranj-o-gam se bari kar diya hoon.                        

 10)MUSHAIDA   KYA HAIN AUR ROHAANIAT MAIN ISKI KYA     AHMIYAT   HAI?

  Islam mein shariyat ke andar 5 arkaan hamaare yeh hain  Kalma, Namaaz, Roza, Zakat, Haj.Isi tarah hamare maslaq mein in 5 arkaan yaani Maarifat mein in 5 arkaan ka matlab yeh hain.

i)Yakeen mera kalma hain, Allaah taala irahaad farmata hain

WA SHARRI HI WA KHAIRIHI MINNAL  LAAHI TAALA WA BAASIL

BAADIL MAUT.

 Yaani Har inssan ki zindagi se jo  bhi

Page 18: Payame insaniyet

movement hota hain shar ho ya khair woh Allaah ke Zaat se hi hota hain yaani Rooh se aur  iske  talluq se aur ek hadees hain hamaare paas Allaah ki Nabi (S.A.W.S) ne  irshad farmaya.

            MAN ARAFA NAFSAHU FA QAD ARAFA RABBAHU

Yaani jisne nafs ko pehchaana ushi ne Rooh ko pechaana yaani Rooh hi Allaah ki Zaat hain jo jab tak ke insaan ko is bat per imaan naa ayeee meri zindagi mein jo bhi shar wo qair ka amal hota hain usko sirf Allaah ki Zaat hi karti hain mein kissi maqlooq ka ya insaan ka  ya nafs ka daqal nahi hota. Isi liye har insaan ko jo maarifat ke samandar

mein tairta hain usko is baat ka yaqeen hona chahiye main kalma padne ke baad yaani (mera nafs saakti ho jaayega aur mere andar Allaah ki Zaat Rooh bankar zinda ho jaaye aur jo bhi mera amal honga woh Allaah ki Zaat se hi honga) isliye mera yaqeen hain ke  LAA ILAAHA ILLALLAAAHU ke maaine yahi ho sakta hain ke nahin rahegi mere andar koi sifat bakhi sewaaye Zaat ke Rooh bankar.Jab insaan ko is baat ka yaqeen hain to samaj lo ke uska imaan mukammal ho gaya warna agar koi insaan ya musalmaan ya ko aur mazhab waale log jaise ki  Ishaai,Parsi,Sikh,Hindu jitne duniya ke mashahib hain yeh sab log Allaah ki ek hi maante hain aur uske tassawur mein apne andaaz mein ebadat karte hain. Ebadat yaahi uski parashitish, parshtish yaahi kissi cheez ko chahna, jab tak  insaan kissi cheez  ka mushaida nahin kar leta tab tak uska yaqeen mukammal nahin hota jaise ke hamaare maslaq mein kahan gaya hain

Page 19: Payame insaniyet

yaqeen ke teen darje hote hain.

a) Ilm-ul-yaqeen  Jaise ke kissi ke bare mein kissi se sunna yeh ilm-ul-yaqeen huwa

b)Ain-ul-yaqeen Us aadmi ki baat ko sunne ke bat us cheez ki akah(eye) se dekhan ain-ul-yaqeen huwa.

c)Haq-ul-yaqeen jab aadmi us cheez ko  paa lete hai aur usse iste-faada utaat hain to yeh samaj lo ke wo h saks haq-ul-yaqeen ke daire mein pahuch chukka. Ab tum khud hi samaj sakte ho  mushaida kya hai aur Roohaniyat mein iski kya ahmiyat hain iske alaawa ek baat aur hain tum khud faisal karo ke ab aise mushaida karne waale ka kya mushaida hain .Ab maine Quran aur hadees se dale dekar apni baat aur apne maslaq yaani MAARIFAT ko aap ke saamne wazeh kar diya hain ab aap log khud faisla kar sakte hain

ke mushaida ka kay muqaam hai.

2)Khauff meri namaaz hain  Aaalimoun ko mullaoun ko murshado ko nahin dar Quran ka main woh jaahil ho azaan se bhi dar lagta hain. Kyon ke Azaan sunne ke baad agar mera nafs namaaz ke liye jaata hain to kafir ho jaaonga is baat ka ushe dar laga rahta hai kyon ke imaan wolo ko chahiye ki jab namaaz  mein apne nafs ko daqal dene ka

iqtiyaar nahin rehta phire digar aamal mein jo zindagi mein 24 ghante mein sardat hote hai to us mein nafs ka daqal kaise, isi liye imaan waalon ko chahiye ke apne har amal mein is  baat ka khauff rakhe ke nafs saakit  ho jaaye aur apna har amal Rooh se ada ho

Page 20: Payame insaniyet

jaaye. Agar duniya mein koi insaan is raste pe chalna chahta hain to usko apne peer ki etaat karna waajib hain aur farz hain jab tak ke tum kissi bande ki bandigi nahi karonge  Allaah wa uske Rasool ki khush-nu-adi haasil nahin kar sakte aur naa hi imaan waale kehlaa sakte hain kyon ke Allaah ko maante to sab hain leik pehchaanta koi nahi aur Allaah ko maanne ki buniyaad per imaan ki daleel saabit hoti to duniya  ka har mazhab najaat ka haqdaar hota kyon ke Allaah taala Quran mein irshaad farmaata hain meine char

kism ke nafs paida kiye hain.

i)Nafs-e-Mutmainnaà Nafs ko pehchaaan Rooh ko paana aur apne har amal par nafs ko razi rakna is shaks ko 100% mein se 2.5 % kaamiyaabi milengi. Agar koi shaks Allaah ko manta hain magar pehchaanta nahin aur naa hi apne nafs se waaqif hain iske baad sunnat-wa-shariyat per amal karta hain to tum hin andaaza lagaaoun usko kya milenga.

ii)Nafs-e-Ambaaraà  Nafs e ambaara woh cheez hain jo kalme tayyab LAA ILAAHA ILLALLAAAHU padne ke baat apni nafs ko poori tarah maaar deta hain aur apne andar apne Rab ka mushaida karne lag jaata hain . Aise shaks ko 100% kaamiyaabi hain kyon ke iska har amal chaahhe aank se chaahe kaan se hot chaahe zabban se ho ya chahe jism se ho iska har amal saraapa Zaat sahi hota hain isi liye SHAIK  ABDUL KHADER JEELANI Peero ki Peer Bade Peer jiske kande per Huzoor-e Akram (S.A.W.S) ke khamde mubaarak hain aur aap ke yaane,  SHAIK ABUDUL

Page 21: Payame insaniyet

KHADER JEELANI ke khadme mubarak duniya ke tamaam Auliya ikraam, Muhdaseen wa Saleheen jitne bhi qayamat tak paida gonge in sab ke kando per aap ke pair e mubarak honge. Is liye in

ki har baat hamaare liye misaal-e-raaha hai apne irshaad farmaay “Jab banda apen peer ki etaat karta hain unko ek muqaam aisa aa jaata hain woh banda banda nahin rehta woh  saraapa Allaah ki Zaat ban jaat ahin jab woh baat karta  hain to uski zabaan nahin hoti  jab woh aank se kissi cheez ko dekhta hain ya mushaida karta hain to uski aank nahin

hoti jab kissi awaaz ko apni kaan se sunta hain uske kaan nahin hote jab kissi amal mein apne haat wa pair ko harakkat deta hain to uske haat-o-pair nahin hote balke sab aaza uske Rab ke hote hain. Iske liye Quran ki ek ayaat daleel ke taur per hum pesh kar rahe hain Allaah taala irshaad farmaa raha hain.

SURA NOOR PARA 18 AAYAT 34 TO 35AllAAHU NOORUS SAMAAWATI WAL ARZ. MASALOO NOORIHIKAMISH KATIN FI HA MIS BAA HU AL MIS BAA HU FI JUJAAJATIN AZJUJAAJATIN KA ANNA HA KAUKABUN DURRIYOUN YU QADU MINSAJARATIM MUBARAKATIN ZAITUNATIL LA SHARKIYATIUN WALA                                        GARBIYATIUN YA KAADU ZAITUHA YUZIHU WALAU LAM TAMSASHUNAAR NOORUN ALAA NOOR

Page 22: Payame insaniyet

YAHDI LAAHU LI NOORIHI MAIN                                                  YASHAAO WA YAZ RI BULLAAHUL AMSAALA LINNAASI WALLAUALA KULLI SHAIIN ALEEMAllaah tala ka noor zameen wa aasmaan ke zare-zare mein samaay hua hain, wooh kaisa hai asar to rakhta hai per nazar nahi aata. TAAQ,WAJOOD,MISHKAT se murad qalb hai aur qandile qalb ka upari kamil, wajood zaitoon khoon hai.         Jo fuqra nafs ki naïf karte hai apen andar zaitoon ke tale ko palate hai, isis zaitoon ke tale ke zariy-e Allaah tala maqlood(tamaam kaaye-naat) ke andar unke zarie-ye Allaah tala wo batil parest taqatoon ko zaail kare ke apne banoun ko un fuqra ke zariey noor hi nor bana dte hai aur un ke aamal ke zarieye maqlooq ke amaal durust kerte hai, jab wooh paak saaf ho  ata hai un kaa amaal Allaah tata bandoun ke liye msiaal deta hai jo banda nafs ki naïf kare usnka ilm nahi honta balke uske Rab ilm hota hai, kiyoun ke uske zabaan Rab ke zabban aur uske aank Rab ki aank ho jati hai.            Aur iske saat hi saat ek  hadees(Bukhari) hain ke Allaah ke Rasool (S.A.W.S) ne irshaad framaay Qulu LAA ILAAHA ILLALLAAHU DAKLUL JANNA Yaani jisne bhi ek martaba kalma sahi pada  LAA ILAAHA ILLALLAAAHU aur samaj kar pada yaani nafs ko pehchaana aur apne Rab ko pehchaana yaani Rab ka mushaida kiya aur apne dushman shaitaan ko pehchana aur pani madadgaar farishte in sab ko pehchaana hi imaan ki daleel hain tab jaakar Allaah ke Rasook ki baat saadiq hongi aur janat ka mushtahaq honga agar ko buniyaadi taur per kalma hi

Page 23: Payame insaniyet

LAILAHA padta hain aur Bismillaah hiar rehman padta hain tokya aise shaks ki seene mein imaan baki reh jaayega ab iska faisla main aap per chodta hoon “MUSHAIDAY KAY ASRAAT IN CHEEZOON PAY KAYA  HOTAY HAIN –JIMANI-ROOHANI-DEENI-DUNYAWEE”iii)Nafs-e-lawaama  Ab rahi baat nafs-elwaama ki nafas e lawaama ka matlab hain Allaah ko manta to hain magar pehchaanata nahin aur uske tasawwur mein shariyat per amal karta hain sunnat per amal karta hain jab ke ise shariyat ka matlab nahin maaloom aur naa hi sunnat ka matlab maaloom hain sirf wa sirf jannat ke laalach mein daahri chod raha hain apne chehre pe namaaz ke ghatte ko laa raha hain aur roze ke naam per faaqi reh raha hain dikhaawe ke liye apne surround padosi ya azeez wa aqaarib chahe zurrat mand ho ya naa ho sifr dikhaawe ke liye zakaat de raha hain aur batuar-e-tafree saal mein barah Umrah kar raha hain aur ek Haj kar raha hai sifr jannat ke tasawwur mien “Kya tum hi baatoun aisa shaks duniya mein to kaamiyaab ho jaayega lekin aaqirat mein kuch naa paayega” isi liye isko nafs-e-lawaama kaha gaya hain, manta to hain magar pehchaanta nahin kyon ke Quran mein Allaah taala farma rehen hain.

PARA 22 SURA AHZAAB AYAAT 34INNAL MUSLIMEENA WAL MUSLIMMATI WAL MOOMINEENA WALMOOMENAATI WAL QAANITEENA WAL QAANITAATI WAS                                                        SAADIQEENA WAS SAADIAQAATI WAS SOBEEREENA WAS

Page 24: Payame insaniyet

SOOBIRAATI WAL QASHEEIAN WAL QASHIAATE WAL                                                    MUTASADDIQEENA WAL MUTASADDIAQAATI WAS SO-E-MEENAWAS SO-EE-MAATI WAL HAAFIZEENA FURU JAHUM WAL HAFIZAATIWAZ KIREENAL LAAHA FASIRAOUN WAZ KIRAATI AADDALLAAAHULAHUM MAGFIRAOUN WA AJRAN AZEEMA.            Beshaq islam ke kaam Karen waale mard wa aurat jab tak momin nahin ho skate tab tak nafs ki nafi na kar le aur momin hone ke liye Allaah taalaa yeh shart rekhe hain kissi bande ki farmaa bardaari karna hain jab tak saadiqeen nahin kehla sakte aur naa saabereen kehla sakte ho aur naa hi tumhaara ko amal khushu-wa-khuzu ka honga aur      Naahi  tumhaari sadkha wa khairat qubool hongi aur naa hi tum roza rahk sakonge aur naa hi apni sharm gaahon ki hifazat kar sakonge aur naa hi kasrate se Allaah ko yaad kar sakte ho in sab ke liye tum ko chahiye ke jab tak ke nafs ki nafi naa karlo  Allaah ko yaad kar sakte ho naa hi humhaari magfirat hongi aur naa hi koi ajr milenga agar tum nafs ki nafi karonge Allaah ki Zaat ko  paa longe uska waad ahin tumse wo h tumhari magfirat bhi karega aur tum ko ajr-e-azeem bhi denga. Huzoor (S.A.W.S) ki hadees hain.INNA MUL AAMAALU BIN NEEYAT.Tumhaare aamal ka daromadaar tumhaari neeyat per hain.          Ek marta masjid e nabawi ke paas ek sahabi jaanwar khula chokdar masjid mein namaaz padkar waapas aaye to kya dekthe hain ke unka jaanwar kahin gum ho gaya usko

Page 25: Payame insaniyet

dhoonde ke liye sara din nikal gaya tak jaakar unko unka jaanwar mila. Dushre din jab subha woh sahabi masjid mein aaye to apne saat kuch lakdi ke tukde laaye aur masjid  ke baazu gaad diye aur yeh elaan kar diya ki jab koi sahabi  namaaz ke liya aaye to apne janwar ko is kooti se band de to andhere mei  ek doosher shahbi masjid ko aye woh lakdiyoun ko dekha to bahut gussa huwe aur lakdiyoun ko ukaad diya aur kahan kaun bewaqoof hain yeh is tarah masjid ke raaste mein lakdiya gaad diya hain jo phele waale sahabi ko ittela huwi to unhone aakar baad wale sahabi se ulaj pade. Tab dono milkr Huzoor-e-Paak Nabi (S.A.W.S) ke paas pahuche aur apna iddiya bayan kiya to Sarkar-E-Doalaam S.A.W.S ne irshaat farmaay  ke tum ko maalomm nahin ki INNA MUL AAMAAL BIN NEEYAT ka matlab kya hain iska matalb hi yeh hain ki jab koi aadmi amal karta hain uski neeyat Allaah ki maqlooq ko faida pahuchaane ki ho to zaroor woh ajar ka mustahiq hain is lihas se ab tum dono neki ki mushtahaq hain kyon ke gaadne waale ne bhi lakdiyoun  ko is liya gaad tat ke Allaa ki maqlooq  ko faida pahcuhe isi liye dono ki neeyat ek hain amal ek dushre ek qilaaf hain. Lekin Allaah tala tumhaare zaahiri amaal ko nahin dekte balke tumhaari neeyatoun to dekte hain.                                                 Ab nafs-e-lawaama kisko kehte hain isk faisla aap kar sakte hain, Main ne Quran aur ahdees ki roshini mein dalaayel dekar apni baat ko manwaa liya hain.4)Nafs-e-Moolima  Hamaari nazar mein nafs-e-moolima woh shaks hain jo Allaah ko manta to hain magar pehchaanta nahin woh saari zindagi bhar hare ek taqatwar  cheez mein ya

Page 26: Payame insaniyet

phir kissi boot(statue) mein Maalik-E-Haqeeqi ko doondta rehnta hain leikin kahin bhi usko sahi jawaab naa milne ki wajah se mutamin nahin ho paata isi  liye hamesha doodnta rehta hain. Chahe aise shaks ko aap Hindu kaho Sikh kaho ya isaai kaho ya Parsi kaho mein apni zindagi mein ko aisa shaks nahin dkeha jo Quran, Hadees ya Allaah , ya uske Rasool ka inkaar karta ho us shaks ka kissi bhia mazhaab se talluq ho lekin uske paas Allaah uske Rasool ki baid qadr wa azmat hongi kyon ke Quran mein khud Allaah taala irshaad  farma rehn hain .                                                                                        ALAS TU BI RABBIKUM QAALU BALA O-OFI BIHI YAHDIKUM O-OOFI YAHDIKUM Yaani Allaah taaala irahsa farmaa rahe hain ke maine duniya mein jitne insaan paida kiya hoon un sab ki Roohin se sawaal kiya tha “Kya main tumhaara Rab nahin hoon” to sab ne milkar yeh jawaab diya “beshaq aap hamaare Rab hain” isi liye duniya mein aaj Allaah ki alag alag naam se pukaar te to hian kein sab ka imaan-wa-iqaan hain ke sab ko paida karne wala aur sab ka paalanhaar ek hin hain, To humko kisne iqityaar diya kissi ko bhi hum kaafir kaise keh kahenge jo shaks jaankar ya naa jankar Allaah wa us ke Rasool ke ahkaam ka inkaar karta ho. To jo log Allaah ko maante hain pehchaante nahin who log hamaari nazar mein mushriq hain  aur jo log jaane anajaane mein uske ahkaam ka inkaar karte hain woh kafir hain . Ab aap kuhud faisla kijiye mushrik kaun aur kaafir kaun duniya mein kuch aise maslaq waale ya aise akeede wale log Allaah ne paida kiya hain hamaari aazamaaish ke liye jo Quran aur Hadees aur naek amal ka sahara lakear Allaah ki  maqlooq ko gumraah karte

Page 27: Payame insaniyet

hain Allaah ko maante to hain magar pehchaante nahin main kissi jamaat ya kiisi tehreeq ya kissi party ya kissi Peer-wa muaulana ka naam lekar kissi ko dosh dena nahin chahte yeh sab takdeer ka likha hain jab jo hona hain tab hokar rahenga. Isi liye Allaak ki Rasool S.A.W.S ne irshaad farmaaya. Bani Israel mein bahattar 72 firke the meri ummat mein ek firka zyada honga tirhaatar 73 firke honge.Aur meri ummat ke 72 firkw naari honge ek hi firq naaji honga jo mere saat jannat mein shaareq honga. Ab duniya mein har jamaat woh har firqa ka yeh daawa hain ke hum naajat pane waale hain aur hum ko maaloom hain ke Allaah taal kiss ko bakshta hain to Kalme ki buniyaad per aur imaan ki buniyaad per bakshta hain jiska kalma wa imaan sahi naa ho anna uski koi namaaz qubool hogi aur naa koi uska nake amal qubool honga aur na dua qubool hongi isi liyehum to saaf apni munaajat mein keh chuke hain ke hum jahanumi hain aur kaafir hain Aye Alaaah tu beshaq hame jahnauum mein daal de leikn tere Rasool S.A.W.S ki ummat men jo gunaahgaar, badkaar, siyaakra hain un sab ko maaf farma aur jannat-ul-firdous mein aala muqaam ata farma. Ab aap hi faisla ki jiye ke in 73 firqo mein kaun naaji ain aur kaun naari han.Maine aap ke sawaal ka jawaab de diya ab aap isko tafseer se padiye.

3)Sabr mera Roza hain  Allaah ke maqlooq ki di hui arizyatoun ko bardash karna hi asal roza hain agar kissi ki taqleef ko kissi maqlooq se munsalig karonge to tumhaara roza ek haq toot jaaygea aur tumhaari wazu e haq bhi toot jaayegi. Isi liye tum ko chahiye ki jabhi tum ko Allaah ki

Page 28: Payame insaniyet

mqlooq ki taraf se ko taqleef pahuche to is aayat ka wird kar liya

karo

 PARA 2, SURAH NO 2 , SURA BAQRA , AYAT 153INNAL LAAAHA MAA-AS SABIREEN.

Iska matlab hain mere andar Allaah maujood hain Rooh bankar Zaat ki shakal mein wohi sabr kar sakta hain naa ki meri nafs.

4)Isar-o-Qurbaani meri zakaat hain Isar o Qurbaani ka matlab hain aadmi yaahi imaan waale ko chiey ke har waqt apni zurrat se zyda Allaah ki maqlooq ki zurrat ko tarji de.

5)Meri nafs Meri Rooh ka Tawaaf  karthi hain yeh mera Haj hain.

Agar insaan har amaal mein apni nafs ko saakti rakhta hain  aur apne Peer ke bataaye huwe tareeqe per amal karta hain to uski har saans Rooh ka tawaaf kartihain yaani nafs. Yaahi mera Haj hain.

11) 5 KAABAS i) Bait Ul Muqqaddas - Sare ambiya,sahabas, aur saare paigambar(1 lakh 24 hazar) tawaaf tawaaf karte hain.           ii) Kible Ibrahimiii) Bait ul Mamoor - Farishte tawaf karte hain. Gibrael jab nahr mein naha kar nikalte hain to 70,000 paani ke boond jab girte hain to 70,000 farishte paida hote hain.Yeh farishte tawaf karte hain.Doosre farishte ko haq nahin hain woh kaabe

Page 29: Payame insaniyet

mein jaane ka.iv) Sare Imaan wale log - Arsh e moalla pe jaa ke tawaaf karenge.v) Insaan ki Rooh : Kyon ke 24 hrs nafs Rooh ka tawaf karti hain har amal mein

12)

Masnat-e-faqiri pe baith ki gayi to shahi ki tamanna kaun kar Quraan ka sadaqa Allaah mil gaya to jeene ki tamanna kaun kare.

Bahre ishq mein maqhlooq ka guzr nahin hota woh aisi gehraai hain kissi aalim ke Ilm wa kamaal ka guzr nahin hota.

Aalimo ko mullaao ko murshado ko nahin dar Quran ka main woh jaahil hoon aazan se bhi dar hota hain.

Harkas wa naakas ki chappal mochi bhi seetha hain mera yaqeen aur imaan hain ki meri chappal mera peer seeta hain.

Talb-e-Jannat Qauff-e-Doshaq riyakaari hain bande ke liye kyon ke nawakif hain Allaah se sab raayega(bekaar)hain bande ke liye

Mana ke banda Allaah

Page 30: Payame insaniyet

nahin ho sakta phir bhi bande se Allaah juda bhi nahin ho sakta.

Talash-e-Rizk kufr hain bande ke liyeSab raygaa hain koshish e bande ke liye.

Main yeh samjha tha ke yeh sab rishte mere kaam aayenge Mujhe kya pata tha ke saans band hote hi Khudle jaayenge.

 

13) 10 cheezo se 10 cheezo ko zeenat:

Aasmaan ko sitaaro se

Jannat ko hoor se

Farishto ko Jibrael s

Paygambar ko Huzoor (S.A.W.S) se

Mahino ko Ramzaan se

Din ko Jummatul mubarak se

Raat ko Shab-e-Qadr se

Masjid ko Kaabatulla se

Kitabe ko Quran se

Quraan ko Bismillah Hir Rehmaaan Nir Raheem se

Page 31: Payame insaniyet

 

14)

DAROOD -E- HAQ:Nafs ko saakit karke Rooh se amal karna.

Kufr : Kissi bhi amal mein nafs ka dakhal dena kufr hain.

Shirk: Kissi bhi shar o khair mein makhlooq ko zimmedaar theraana shirk hain.

Munafiqat kissi bhi Roohaani amal ko nafs se taabir karna munafiqat hain.

Namaz-e-ishq: Ke liye insaano ke khoon se wazu karna hoga.

WATER(Paani) :i)MAZAA:Momin jab kulli karta hain aur maza alag hain to thook deta hain.ii)RANGA: Momin jab wazu karta hain to jab haat mein paani leta hain agar us mein rang hain to chod deta hain kyon ke saaf paani nahin hai .iii)BOO:Jab naak mein leta hain agar boo aayi to chod deta hain.

Quran kis per utaari?

Page 32: Payame insaniyet

Rooh par -Ya ayyuhal lazina Nafs par - Ya ayyuhan naas.

HAZA MIN FAZLI RABBI:Jisne nafs ki nafi ki Allaah ko pehchaan liya usne sab kuch paa liya.Fazal woh hai jo Allaah hain Naemat woh hain jo hamesha rehne wali hain.

 

     Mujjassima - Adam (A.S)Rooh - To Allaah ki Zaat dhadak rahi hainYA AIYUHAL LAZINA - Rooh (99%) YA AIYUHAL NAFSU - Nafs (0%) Shaitan - (1%)YA AIYUHAL MOMININA WA MOMINAAT - Kamiyaab imaan wale  Muslimoona wa Muslimaat.

 

ADAM ALAIHISALAAM KE ANDAR JO ROOH (Allaah ki Zaat ) maujood hai hum uss ko sajda karte hai.Hamaray jism me maujood faristay sajda

Page 33: Payame insaniyet

karte hain aur shaitan waswasey dalta rahta hain. Peer ki baat hi hamaray liye shariyat hai.

HADIS : Qabar hi illin hai qabar hi sijjin kisi bhi insaan ke liye.

Shariyat : Rooh ko pahchanna aur nafs ko sakit karnatariqat : peer ka amal aur mera amal ek hi hona

Marifath:Zaat ki pahchaan,Rooh ki pahchaan

Haqiqat: Har zarreh zarreh may Allaah ko dekhna

Bandagi ke mane yahi hai ke maqlooq ki di hue arziyato(zulm)ko bardash karna matlab

Zikr namaz se afzal hai

Meri maut hi mera imaan hai

Mera ilm hi Allaah ki pehchaan hai.

MASHALLAAH : Tu khatam ho jayega magar banane wala hamesha reh jayega.

Page 34: Payame insaniyet

SUBHAN ALLAAH : Paak hain woh Zaat jo saari kaayenat ko dhadka rahin hain.Dhadkan paak hai uski sifat naapak hain.

INSHAALLAAH : Mein nafs ke aitbaar se saakit hoon mein kuch nahi kar sakta. Mere andar Alah ki Zaat hain wohi sab kuch kar sakti hain.

DUA:

i)RABBANA AATINA FID DUNIYA HASANATAU WA FIL AAQIRATI HASANATAU WA QINA AZAABAN NAAR.Ay Allaah mujhe woh duniya ata farma jo tujhe pasand hain aur tere Nabi (S.A.W.S) ko pasan hain. Nabi (S.A.W.S) ke tareeke wali zindagi ata farma agar woh tareeke wali zindagi mujhe mil gayi to zaroor mein akhirat ke azaab se bach sakta hoon.ii)HAAZA MIN FAZLI RABBIJis ne nafs ki nafi ki usne Allaah ko pehchaan liya.Usne sab kuch paa liya. Fazal woh hain jo Allaah hain Naimat woh hain jo Hamesha rehne wali hain.

.

.