Kyakyukaise.com-Bhukh Kaise Kam Kare 7 Aasan Upay Motapa Ghataye

download Kyakyukaise.com-Bhukh Kaise Kam Kare 7 Aasan Upay Motapa Ghataye

of 2

Transcript of Kyakyukaise.com-Bhukh Kaise Kam Kare 7 Aasan Upay Motapa Ghataye

  • 7/26/2019 Kyakyukaise.com-Bhukh Kaise Kam Kare 7 Aasan Upay Motapa Ghataye

    1/2

    Bhukh Kaise Kam Kare 7 Aasan Upay Motapa Ghataye

    kyakyukaise.com /bhukh-kaise-kam-kare-motapa-kam-karne-ke-upay-hindi-mein/

    Govind

    Bhukh Kaise Kam Kare

    Bhukh lagne ke karan sirf yahi nahi hota ki shareer ko khane ki jarurat hai. Jada bhook(hunger) lagne ke bahut

    se karan ho sakte hai. Stress ki wajah se bhi bhukh lagne lagti hai jiske karan hum jada kha lete hai. Kabhi kabhi

    aesa lagta hai ki bhook lagi hai par ye hamare dimag ka waham bhi hota hai, kyuki kai bar ye bhi hota hai ki

    pyaas lagi hoti hai. Sara din free rehna aur koi kaam na karne wale vyakti ko bhi adhik bhukh lagti hai. Jarurat se

    ada khane par pet mein charbi jama hone lagti hai jo dhere dhere motape ka roop le leti hai. (How to Control

    Appetite)

    Agar har baar bhukh lagne par hum bhojan kar le to hame use pachane ke liye jada mehnat bhi karni hogi nahi

    to isse body mein fat banane lagega. Jab hum ghar se bahar hote hai tab bhukh ko shaant karne ke liye hum

    unk food khate hai jisme bahut jada calorie hoti hai. Is article mein hum janenge weight control mein rakhne ke

    liye bhukh kaise kam kare.

    Jane Weight Loss Tips in Hindi

    Bhukh Kam Karne ke Upay How to Control Appetite in Hindi

    Agaraap ko jada bhukh lagti aur bar bar bhojan karne se pareshan hai ya fir aap bhukh kam karke motapa kam

    karne ke upaykarna chahte hai to aap yaha bataye hue tips ko dhyaan se padhe aur inhe sahi tarike se apne

    daily routine mein apnaye.

    1. Paani:Jab aap ko bhook lage tab sab se pahle ek glass pani piye ab 15 se 20 tak wait kare aur agar uske

    baad bhi bhook lagi ho tabhi bhojan kare. Agar aap weight loss ke liye diet kar rahe hai to din mein jada paani

    piye nahi to khali pet hone ke karan acidity, pet mein jalan aur gas jesi pareshaniya ho sakti hai.

    2. Green Tea:Green tea mein antioxidant adhik hota hai jo body mein fat burn karne aur bhukh kam karne mein

    madad karta hai aur body ko healthy rakhta hai. Bhukh kam karne ke liye din mein 2 baar green tea ka sevankare. Green tea ke ilava aap black tea bhi pi sakte hai. Jane Green Tea Kaise Banaye.

    3. Soup:Khana khane se pahle bina cream wala vegetable soup piye. Isse aapko pet bhara hua lagega aur aap

    ada nahi khayenge. Bina cream wale soup mein fat aur calorie kam hoti hai aur nutritions jada hote hai jisse

    1/2

    http://kyakyukaise.com/bhukh-kaise-kam-kare-motapa-kam-karne-ke-upay-hindi-mein/http://kyakyukaise.com/green-tea-ke-fayde-aur-nuksaan-health-benefits-in-hindi/http://kyakyukaise.com/category/weight-loss/http://kyakyukaise.com/bhukh-kaise-kam-kare-motapa-kam-karne-ke-upay-hindi-mein/
  • 7/26/2019 Kyakyukaise.com-Bhukh Kaise Kam Kare 7 Aasan Upay Motapa Ghataye

    2/2

    kam bhojan karne par bhi sharer mein poshak tatvo ki kami nahi hoti.

    4. Mirach:Khane mein hari mirch aur kaali mirch ka sevan jarur kare. Mirach khane se bhook kam lagti hai jisse

    wajan nahi badhta.

    5. Chapati:Agar jada khane ki wajah se body weight badh gya hai aur aap apni hunger control nahi kar pate to

    khane mein gehu ke aate ki rotiya khane ki bajay chane aur joo ke aate ki rotiya khaye. Isse pet hi nhi puri body

    ka weight kam hone lagega.

    6. Fruits & Vegetables: Falo aur sabjiyo mein calorie aur fat kam hota hai aur vitamin, fibres adhik hote hai.

    Isliye jab khana khane ke baad bhi agar bhookh lagne lage tab fal aur salad kha sakte hai.

    7. Breakfast:Subh ka nashta aaram se aur pet bhar ke kare. Agar motapa adhik hai to nashte mein

    carbohydrates wali cheeje kam le. Subh pet bhar nashta karne se sham tak bhukh nahi lagti.

    Bhukh Kam Karne ke Tips aur Parhej

    Jada namak aur chini wala khana na khaye.

    Masaledaar cheeje khane se bache.

    Bahar fast food khane ki bajay ghar par hi bhojan kare.

    Chini ki jagah gud ka paryog kare.

    Raat ka dinner sone se 2 ghante pahle kare.

    Motapa Kam Karne Ke Tips

    Bhukhe rehna aur kam khana koi dieting nahi hai. Jo log motapa kam karne ke liye dieting karte hai unheshuruat me bhukh jada lagti hai aur dieting ki starting mein bhukh control karna bahut mushkil ho jata hai. Agar

    weight kam karna hai to kam khane ki nahi balki sahi khane ki jarurat hai.

    Bhukh kam karne ke upay jadatar vo log karte hai jo apne motape se pareshan hai, aur iske liye dieting shuru

    karte hai. Aap is article main batayi hui baato ka dhyaan rakh kar dieting mein bhukh control kar sakte hai.

    Motapa Kam Karne ke Tarike

    Yoga Se Pet Kam Karne Ke Upay

    Green Coffee se Weight Loss ke Upay

    Dosto Bhukh Kaise Kam Kare, Motapa Kam Karne Ke Upayka ye leekh kaisa laga comment karke bataye, aur

    agar aapke pass koi sujhaav ya upay hai to hamare sath share kare taki aapki batayi hui jankari se aur log bhi

    fayda le sake.

    2/2

    http://kyakyukaise.com/green-coffee-benefits-for-weight-loss-in-hindi/http://kyakyukaise.com/yoga-se-pet-kam-karne-ke-upay-hindi-mein-wajan-kam-kare/http://kyakyukaise.com/motapa-kam-karne-ke-upay-weight-loss-tips-in-hindi/