Indi horror (2007) mohit trendster

37

description

Horror stories with Indian backdrop....

Transcript of Indi horror (2007) mohit trendster

Page 1: Indi horror (2007) mohit trendster
Page 2: Indi horror (2007) mohit trendster

Indi Horror

© Mohit Trendster (2007), all rights reserved.

[email protected] http://mohitness.blogspot.in/

Stories originally posted on Raj Comics Forums, Orkut Fiction

As there are limited options and ordinary results in the conversion of Hindi text in various e-formats for reading, I am using English text for these Hindi stories.

I know there are so many Hinglish users….but still, I will try to publish these stories in “Devnagri” and translate these horror stories in English for more readers..and as Indian Railways habitually sayas, “Inconvenience caused is

deeply regretted.”

Page 3: Indi horror (2007) mohit trendster

1). Stunt

Ek mahatvkanshi film project jo aaj tak ki sabse zyada stunts waali film banne jaa rahi thi jiske baare mey har jagah characha abhi se tez ho gayi thi. Uss film ki kahani ek laalchi builder ki thi jiski nazar ek poore gaon ki zameen par thi aur jisse hathiyaane kay liye wo kuch bhi karne ko tayyar tha…..gaon waalo ki jaan bhi lena uske liye khel tha par uska ek dardnaak annt hota hai. Itne saare stunts aur production ka budget kum karne kay liye uss film kay producer nay ek door daraz kay peechde gaon ko chuna, jaha kay gaon waalo se usse shooting kay liye badi jagah aasani se bhi mil gayi aur film kay liye bahut hi kum paiso mey khatarnaak stunts bina ‘safety equipments’ kay saath karne ko bahut se bhole bhaale gaon waale raazi ho gaye. Wo laachi Producer saare intezaam se santusht hokar apne

Page 4: Indi horror (2007) mohit trendster

production house ka kaam sambhalne waapas Mumbai chala jaata hai. Wo iss film ki beech beech mey khabar lene laga.Ussi Producer kay nirdesho kay anusaar film unit dwara bina safety measures kay gaon waalo se bahut se khatarnaak stunts karvaye gaye jisme kai gaon waalo maare gaye ya ghayal ho gaye. Film ki kaafi shooting abhi baaki thi aur inn durghatnaao kay kaaran film unit par sthaniye logo aur police ka dabaav badh raha tha. Gaon waalo ka gussa dekh film unit producer ko salah deti hai ki wo Mumbai se hi gaon waalo ko film ki kamaai ka 99% hissa dene ka kagazi vaada kar lijiye. Baad mey unhe thoda bahut muaawza dekar iss 99% profit baantne waale papers ko farzi saabit karva denge….(”Ye bevkoof gaon waale hum logo se case ladne aa jaayein wo hi bahut hoga….usse jeetna to door ki baat hai.”) Producer ye baat maankar gaon mey wo legal papers bhijwa deta hai jinme likha hota hai ki iss film se honay waali kamaai ka 99% hissa gaon waalo ko diya jaayega. 1% profit bhi film ki unit ka kharcha poora karne kay liye liya jaa raha hai. Iss film se gaon ko bahut badi aarthik madad milegi aur faayda hoga. Aisa karne se gaon waalo aur police ka dabaav phir se kum ho jaata hai. Kuch dino baad, Film ki unit ab producer se phone par ajeeb tarah se baatein karne lagi thi. Producer ko laga ki wo sabhi gaon mey itne zyada din rehne kay kaaran irritate ho gaye honge. Kuch hi dino mey film kay director ka Producer ko phone aata hai ki film ka aakhri schedule shoot hona hai jiska udghatan film ki poori unit aur gaon waale aapki upastithi mey aapke haatho se hi chahte hai. Waha pahunchkar sabhi ka bartaav usse atpatta sa lagta hai. Sabhi aakhri scene ki shooting turant chahte thay. Aakhri scene ek bridge par shoot hona tha producer jaise hi ribbon kaat ta hai. Ek daravni hassi kay saath director bhoot mey badal jaata hai aur bolta hai. “Lights……camera……action.” Ye sunte hi ab tak uss film mey kai stunts kay dauraan maare gaye gaon waalo kay shat

Page 5: Indi horror (2007) mohit trendster

vikshat shav achanak se prakat ho kar uss producer ki taraf badhte hai…..darr se kaamp raha producer madad kay liye film Unit kay logo ki taraf daudta hai par wo bhi bhooto mey badal chuke hotay hai. Tab uss producer ko film ka bhoot director batata hai ki marre huey gaon waalo ki aatmao nay poori film unit ko bhi maar daala tha.....aur issi kaaran unka bartaav ajeeb ho gaya tha. Producer ki dardnaak maut kay saath hi film ka aakhri schedule poora hota hai. Uss film kay prints apne aap hi unn legal papers ki copy kay saath desh bhar kay distributors kay paas pahunch jaatein hai. Film superhit hoti hai aur marre aur ghayal gaonwaalo kay parijano ko unka haq milta hai. The End.

2). Mautniti

Page 6: Indi horror (2007) mohit trendster

Kuch mahino pehle hi Sindhar Rajya mey Jaago Dal naam ki party satta

mey aayi thi. Uss party ka satta mey aana ek chmatkaar tha kyoki bahut

si chhoti parties se gatbandhan karke pehli baar koi sadharan starr ki

party satta mey aayi thi.

Lekin aaye din Jaago Dal aur uske sahiyogi dalo kay netao kay naam

ghotaalo mey aa rahe thay. Kuch hi mahino kay antraal mey ruling party

ki lokpriyeta behadd kum ho gayi thi aur aaye din sansad mey vikpakshi

netao dwara kharab policies ki ninda, reporters dwara sting operations,

etc, se sattadhari party kay neta pareshaan thay. Upar se Sindhar ki

rajdhani Dhar aur uske aas paas kay elako mey dangey bhadak gaye

thay. Sthiti nazuk hoti jaa rahi thi.

Ruling Party ki meeting hui jisme sabhi ko zaroori nirdesh diye gaye.

Meeting kay baad Cheif Minister Mahendra Madugar nay kuch netao ko

rook liya. Phir Chief Minister nay apni baat shuru ki.

Mahendra Madugar - Kuch hi mahino mey humare bahut se mantriyon

par ghotaalo kay maamle darj ho gaye hai. Upar se humari kai policies

ki central agencies dwara jaanch chal rahi hai. Media nay bhi jeena

haraam kar rakha hai. Ye unki reports aur khabro ka hi natija hai ki janta

ab humse nafrat karne lagi hai. Yaani iss baat kay poore aasaar hai ki

humari sarkar agle election se bahut pehle hi girne waali hai. Dango ko

bhadkane mey karyakartao kay roop mey mere aadmiyon ka haath tha

taaki mai vipakshi parties ki image bigaad sakun par patrakaaro aur

deshbhakt netao ki wajah se ulta hi ho gaya. Inn Dango nay humari

chhavi aur zyada bigaad di hai.....lekin hum inn dango ka ab bhi apne

faayde kay liye isteymaal kar sakte hai. Kuch reporters ki boli bahut

Page 7: Indi horror (2007) mohit trendster

nikalti hai aur wo yahin humari naak kay neeche issi shehar mey reh kar

kaam karte hai. Aur opposition kay kuch mantri jo humare khilaaf janta

ko bhadka rahe hai aur bade campaign chala rahe hai.....inn sab ko

dango ki aad lekar khatm karna hoga.

Ek sawal uttha.

"Par Mukhya Mantri ji aisa karne se to seedha shaq hum par jaayega."

Mahendra Madugar - Isliye to maine Jaago dal kay khaas mantriyon ko

meeting kay baad rooka hai. Humey apne aur apne sahiyogi dalo kay

bhi kuch netao ko maarna padega tab kisi ko iss yojna ki bhanak nahi

lagegi. Arre, bhaiyon....Sarkar ko aage chalana hai to humey aise

balidaan to dene padenge. Ab dhyaan se suno jin mantriyon aur

reporters ko maarna hai maine sabki list bana li hai. Inme se zyadatar

V.I.P. aur celebrity ka darja haasil kar chuke hai isliye kisi ko gayab nahi

kar sakte sabki laashein milni chahiye. Inn sabko aise marvaao jaise ye

dango mey marre hon aur phir inhe dango mey marre logo kay saath

plant karva do.Matlab maarne kay baad inke shareer kay kuch anng

bhang kar dena ya bade bade ghaav kar dena. Inki Post Mortem reports

dango mey marr chuke logo jaisi lagni chahiye......nahi....balki mai to

kehta hun ki unse bhi asli lagni chahiye...ha ha ha ha ha ha ha.

Wahan upasthit sabhi haiwaano kay thhahake goonjne lage. Mahendra

Madugar kay shadiyantra par amal hua aur berehmi kay saath unke

aadmiyon nay di gayi list kay anusaar bahut se mantriyon aur reporters

ko dango ki aad mey maar daala. Ussi shaam Ruling Party kay unn sabhi

jallado ka Chief Minister kay ghar par jhashn chal raha tha. Sabhi iss

Page 8: Indi horror (2007) mohit trendster

kaamyabi ki wajah se saatve aasmaan par thay.

Kuch dair baad darwaze par zor ki dastak hoti hai. Bahar bahut shor gul

tha. Sabhi neta ghabra gaye aur unhone apni security ko kai sandesh

bheje lekin koi jawab nahi mila. Saare mantriyon nay apna staff aur

suraksha karmi iss party ki wajah se pehle hi kum kar diye thay.....par

unke khaas bache huey suraksha karmi bhi ab unka jawab nahi de rahe

thay. Khidkiyon kay sheshay tootne lage aur bahar shor badhta jaa raha

tha.

Mahendra samet andar maujood darre huey netao nay khud ko upar

waale kamre mey bandh kar liya aur wahan se bahar dekha to Dange ka

drashya tha unke suraksha karmi behosh pade thay.....bahut se gutt

aapas mey bhide huey thay. Chief Minister ki saari suraksha vyavastha

gayab thi. Aakroshit bheed nay darwaza todd diya aur wo andar ghus

aayi. Phir jis kamre mey sabhi netao nay khud ko bandh kar liya tha

uska darwaza bhi todd diya gaya. Aakhri ummeed kay saath sabhi neta

kamre ka darwaza khulte hi tabadtood goliyan chalate huey bachne kay

liye neeche bhaage par unhone dekha ki neeche bhi bahut log hai aur

jin logo ko unhone goliyan maari thi wo bhi unki taraf hastey huey badh

rahe hai.

Ab achanak saari bheed shat viskshat laashon mey badal gayi thi. Uss

bheed mey se bahar aaye unn Reporters aur Netao ki chalti phirti

laashein jinhe Mahendra Madugar aur uske saathi mantriyon nay

marvaya tha. Ye manzar dekh kar Mahendra aur uske saathi darr se

jadd ho jaate hai. Har neta aur patrakaar ki laash kay haath mey ek

kaagaz tha. Wo kaagazo ko unn darre sehme Ruling Party kay netao ko

Page 9: Indi horror (2007) mohit trendster

thama dete hai. Wo 'zinda' neta unn kaagazo ko dekhte hai......wo

kaagaz unhi ki post mortem reports thi. Phir wo laashein unn netao ko

unki pehle se hi bani post mortem reports kay anusaar maar dete hai.

Kuch dair baad sandeh kay aadhar par pahunchi Police ko wahan

Sattadhari party kay Mukhya Mantri Mahendra Madugar samet unke

kuch mantriyon ki kuchli, kati, shat vikshat laashein milti hai....jaise wo

dango mey maare gaye ho aur har laash kay upar uski post mortem

report rakhi hui thi.

The End!

Page 10: Indi horror (2007) mohit trendster

3). Deadly Deal

Mr. Karan Verma ek sarkari karmchari thay unki naukri kay ab kuch hi

saal reh gaye thay. Unki patni ek grahni thi aur unke 2 ladke aur 1 ladki

thi(Dilip,Rohan aur Akansha).Unki aarthik sthiti samanya thi,unkey

teeno bachche jawaan ho chuke thay par unka chhota beta,Rohan

Page 11: Indi horror (2007) mohit trendster

maansik roop se kamzoor tha.Unki aarthik sthiti par unka chhota beta

bhojh bana hua tha aur bachpan se ab tak usse gharwaalo ki dutkaar hi

mili thi. Phir bhi wo sabhi ko apna maankar unse baatein karne ki

naakaam kosishein karta rehta.Din kat rahe thay ki tabhi Mr. Karan ka

Heart Fail ho gaya aur unhe Hospital mey bharti karvaya gaya. Mr.

Karan pehle hi apni jawaan beti ki shaadi aur ghar ki sthiti ko lekar

chintit thay aur ab unka Heart Failure honay se jaise poore ghar par

pahaad toot pada. Doctors nay Heart Transplant ki baat kahi aur jiske

liye Verma parivaar ko jald hi lakho rupaye jutane ko kaha gaya.Itni jaldi

itna saara paisa jutana parivaar mey kisi kay bas ki baat nahi thi aur

Heart Transplant kay liye Mr. Karan kay matching blood group ka dil

dhoondna bhi mushkil lag raha tha.

Sabhi gharwaalo nay Rohan ko maarkar Mr. Karan kay Heart Transplant

kay liye uska dil isteymaal karne ka shadiyantra racha.Rohan ko sotay

huey ak kamre mey bandh kar diya gaya aur uss kamre mey angithi jala

di gayi,Rohan bahut dair tak chillata raha usse apno par vishvaas tha

par uske apne aaj uske vishvaas kay saath saath usse bhi maar rahe

thay.Jald hi kamre mey gaadha dhuaa aur Carbon Mono Oxide jaisi

jehrili gases bhar gayi aur dum ghutne se tadapte Rohan nay dum todd

diya. Sabhi gharwaalo nay jald hi iss haadse ka naatak duniya kay

saamne kiya aur ghar kay mukhiya ki haalat ki dhuhaai dekar Rohan ka

dil Mr. Karan mey transplant karne ki guzarish ki jo turant hi maan li

gayi aur Rohan ki maut kay kuch hi ghanto baad uska dil uske pita mey

transplant ho raha tha.Mr. Karan ko Rohan ki maut kay baare mey sabhi

gharwaalo nay sach-sach bata diya par Mr. Karan to apne parivaar sey

bhi do kadam aage nikle aur operation kay baad Ardh-behoshi ki haalat

mey hi sabhi ko unke kaam ki shabashi di aur Rohan kay doosre anngo

Page 12: Indi horror (2007) mohit trendster

ko baichne kay sujhaav bhi de daala. Rohan kay lagbhag sabhi aantrik

anng jo bik saktey thay uske besharm parivaar waalo nay jaldi hi gair

kanooni tareke sey thikaane laga diye. Ab Verma pariaar kay paas lakho

rupaye aa chuke thay jinse naa sirf Karan Verma kay Heart Transplant

kay operation ka kharcha chuka diya gaya balki ab unki aarthik sthiti bhi

sudhar chuki thi.

Unn sabhi nay uss paise kay ak bahut bade hissey se ak shaandaar Car

khareedi. Mr. Karan Verma abhi poori tarah se recover nahi huey thay

isliye kuch dino tak unhe hospital mey hi guzarne thay. Mr. Karan ko

chhodkar sabhi nayi Car ki pehli sair par nikle........thodi dair baad unki

Car aniyantrit hokar ak sunsaan sthaan kay andhiare kinare par ruk

gayi.Car kay darwaze nahi khul rahe thay aur uska Air Conditioner

kharab engine ka uddta dhuaa andar kheench raha tha.Sabhi ka dum

ghut raha tha aur unki haalat bigad rahi thi par unki haalat ko dekhne

waala waha koi nahi tha.Tabhi sabko Car mey apne saath ak chauthi

aakriti bhi tadapti hui nazar aayi.......uss aakriti par Dilip nay Torch ki

roshni maari......wo Rohan tha.......ya yu kahein ki Rohan ki aatma ya

bhoot tha.Sabhi parivaar waalo ki Rohan ki tarah hi dum ghutne se

maut ho gayi.....lekin Rohan nay aakhri waqt mey unka saath nahi

chhoda.

Idhar Mr. Karan Verma hospital mey ajeeb harkate kar rahe thay aisa

lag raha tha jaise wo pagal ho gaye ho.Har guzarte ghantey kay saath

Unki haalat bigadti jaa rahi thi aur kuch hi ghanto mey to wo kisi

Maansik roop se kamzoor vyakti ki tarah harkate kar rahe thay.Doctors

nay jaanch ki aur Karan Verma kay iss bartaav ki wagah batayi haal hi

mey unke shareer mey transplant huey dil ki jiske aniyamit karya kay

Page 13: Indi horror (2007) mohit trendster

kaaran Mr. Karan Verma kay dimaag kay kai hisso par khoon kay

thhakey jam gaye thay aur unke kai anng bhi asamanya karya kar rahe

thay.

Rohan ki aatma nay apna pratishood le liya tha.....lekin usne unn logo

ko chhod diya jinhone uske anng khareede thay.

The End!

4). Fight for the Right

Daren – “Papa...abhi mat jao.... “

Page 14: Indi horror (2007) mohit trendster

John - (Daren ko apni godd mey utthakar) – “Mai waapas aaunga mere

bachche.”

Do padosi desh "Razed" aur "Prak" kay beech lambe arse se tanaav aur

seema vivaad chal raha tha aur ab sthiti halke yuddh tak pahunch gayi

thi.

Seema kay aas-paas dono desho ki senao me badhotri honay lagi.

Prak ka rajya ak Tanashah, Malsun kay haatho mey tha. Iss vivaad ko

shaant karne kay liye videsh se ak shaanti dall aaya aur uske rakhe

prastaavo aur baato se doono desho kay rukh mey kuch narmi nazar

aane lagi. Dono desho ki senao ko ladaai rookne aur peeche hatne ka

aadesh mila par Prak kay karta dharta Malsun kay dimaag mey kuch aur

hi chal raha tha. Razed kay kai sainik ab laut chuke thay aur bachi hui

asaavdhan Razed ki sena par Prak ka aakrman hua aur lagbhag sabhi

bache huey Razed kay sainik maare gaye.

Prak nay iss sthiti ka faayda utthate huey Razed desh ka kaafi shetra

apne kabze mey kar liya. Ladaai aur naa bhadke isliye Antarashrtriya

Shaanti Committee nay faisla Prak kay haq mey sunaya. Kamzoor Razed

desh bhi chhup ho gaya.Samay kay saath ye mamla thanda pad gaya. Iss

chhal yuddh mey Razed kay shaheed huey ak sainik John ka Beta Daren

ab javaan ho chuka tha aur wo bhi apne pita ki tarah sena mey bharti

ho chuka tha.

Samay khud ko dohra raha tha aur lagbhag 25 saal baad phir se Park

nay Asaavdhan aur peechli baato ko bhul rahe Razed par hamla kar diya

Page 15: Indi horror (2007) mohit trendster

tha. Razed aur Prak ki seemao par tanaav badh raha tha. Razed ki sthiti

ab bhi kamzoor thi.Seema par ab Razed kay kuch hi sainik apni dharti ki

raksha karne kay liye zinda bache thay jinme se ak Daren bhi tha.Ye bhi

sanyoog tha ki kroor Mansul abhi bhi Prak ka shashak tha aur ussi kay

aadesh se ye kayartapoorna hamla hua tha.

Daren - "Hello....This is "Slope" to "Delta base".....reading

me.......humey backup ki zarurat hai......yaha halaat kharab hai.....aur

"Nasties" aage badh rahe hai,Over."

"This is 'D-Base' to 'Slope' backup bhejey jaa rahien hai,Over."

Daren- "Slope to Delta Base......mujhe backup troops dikh rahe hai."

"D-Base to Slope, abhi to backup troops base se kuch hi doori par

pahunche hai......itni jaldi waha kaise pahunch gaye. Are you sure

that...."

Par aage baat ho paati iss se pehle hi Transmission mey baadha aa gayi.

Daren khush tha ki ab ab uski sena ka paksh thoda mazboot hua hai aur

wo apne desh ka aur nuksaan honay se bacha lega.Daren josh aur gusse

kay saath aage badha par tabhi usne dhyaan diya ki uske saath iss

hamle mey bache sainik to saavdhani se aad lekar aage badh rahe thay

par unke Backup troops kay sainik nidarr hokar badhe jaa rahe thay aur

unke hathiyaar bhi purane lag rahe thay.Daren nay unhe rookne ki

kosish ki kyoki wo dheere-dheere chhupkar aage badhne kay paksh mey

tha par uski baat kisi nay naa suni.

Page 16: Indi horror (2007) mohit trendster

Baazi palat gayi thi aur ab palda Razed ki taraf jhuk raha tha ki tabhi

khule maidaan mey bekhoof aage badh rahe backup sainiko par Planes

se hawaai hamla hua. Iss hamle se maidaan me bhaag rahe lagbhag

sabhi sainiko ka marna pakka maana jaa raha tha par jab dhuaa chhata

to nazara behad bhayanak tha kyoki kate pair, Bina sar kay

dhadd,shatigasth haath......yaha tak ki alag hui aankhien bhi Prak kay

saniko ki taraf badh rahi thi.Ye nazara to morche par bache Razed kay

sainiko ki bhi saanse rook raha tha.Daren abhi hairat se ye sab dekh hi

raha tha ki usne apne kandhe par ak javaan saiknik ka haath mehsoos

kiya.Usne mudkar dekha to aascharya se wo jadd ho gaya......kuch bol

na saka. Uss sainik ki aawaz dobara gunji.

"Beta, Maine kaha tha naa ki mai waapas aaunga.......".

Wo John tha jo apne murda saathiyo kay saath apne desh kay upar

dobara ho rahe iss anyay ko rookne aa pahuncha tha.Jald hi Murdo nay

Prak kay sainiko par paar paa liya.Par phir bhi sabhi murda shareer

shatigrast haalat mey badhe jaa rahe thay......pata nah kya thi unki

manzil.....wo sabhi har baadha ko par kar aur kai hazaro kilometeres ka

safar tayy karke pahunche uss bunker tak jaha Prak ka shashak Malsun

chuppa hua tha.Murde zameen mey sama gaye aur bhumigat buker kay

neeche se nikle.Malsun ko bahut buri maut kay ghaat utaara gaya.Agle

din seema rekha kay nishaan 25 saal pehle waale thay aur Razed ko

apni khooyi zameen aur sammaan waapas mil gaya tha.

The End!

Page 17: Indi horror (2007) mohit trendster

5). Death ‘In-Corporated’

"Mr. Anuj, I am sorry.......he is dead."

Shri Ranjan Kumar, 'Zest Industries' kay maalik apne shetra kay naami

business tycoons mey gine jaate thay par peechle kuch samay se unko

business mey bahut nuksaan jhelna pada tha. Mukhya Production

units ka bandh hona, company shares mey bhaari giravat, resonable

Page 18: Indi horror (2007) mohit trendster

quotations kay bawajood bhi contracts aur tenders ka haath se nikal

jaana.....aakhirkaar unka har din badhta ye stress unki aatmhatya ka

kaaran ban gaya. Anuj Kumar unka eklauta beta tha jisko apne pita ka

business aur ye chintayein virasat mey mili thi. Ye kayaas lagaye jaa

rahe thay ki ghaate mey chal rahi Zest Industries jald hi bandh ho

jaayegi.

Kuch dino baad.

Zest Industries kay head office kay sunsaan corridor mey.

"Madam Renu, aapse kuch baatein karni thi."

Renu - Mai ajnabiyon se iss tarah baat nahi karti.

"Lekin office mey to aap har waqt gossip karti rehti hai."

Renu - K..kaun hai aap?

"Tumhara Boss."

Kuch dair baad uss corridor mey Renu ki laash padi hui thi. Jiski vocal

cord samet gardan kay andruni hisse bahar kheenche gaye lag rahe

thay.

Office mey retail executive kay personal cabin mey.

"What nonsense....office stationary ka iss tarah personal use aur

Page 19: Indi horror (2007) mohit trendster

wastage nahi hona chahiye, Ramesh."

Ramesh - O Hello!! mister.....who are you.....aur aap andar kaise aa

gaye ?

"O Hello mujhe nahi pehchana ? Mera naam Ranjan Kumar hai. Mai

tumhara boss hua karta tha. Tumhe yakeen nahi ho raha hoga.....lo

dekho mera chehra.....thoda sadd gaya hai par pehchan mey to aa raha

hoga. Chalo ab iss stationary ka achchha isteymaal kiya jaaye."

Kuch hi seconds baad marre huey Ramesh ka shareer office stationary

ka godaam nazar aa raha tha.

Sab kuch bahut jaldi ho raha tha aaj Zest Industries mey laasho ka dher

lagne waala tha.

"Jamuna Das ji aap budhe ho gaye hai....ab aap kaam nahi karte bas

attendance lagane aa jaate hai. Comapny kay puraane employee hai

naa....sab aapki bahut izzat karte hai....mai bhi karta tha....par

buddhape mey aapka dard aur mehnat mujhse dekhi nahi jaati. Arre

kuch to kahiye....."

Jamuna Das ji kuch kehne se pehle hi adhik darr ki wajah se chal base

thay.

Late Ranjan Kumar nay apni company kay saare inefficient employees

aur workers ko kuch hi dair mey company se hamseha kay liye 'hata'

diya tha.

Page 20: Indi horror (2007) mohit trendster

Par silsila yahin nahi ruka.

Zest Industries se kuch kilometers ki doori par ek Bus Stop par.

"Bhaisahab, time kya hua hai ?"

"10:35."

"Bahut sardi hai....aaj to aap late ho gaye, Madan Babu. Aapke office ka

time to 10 baje ka hai."

Madan - Haan, ye sab to adjust ho jaata hai. Waise maine aapko

pehchana nahi.

"Mujhe Ranjan kehte hai. Mai aapki Company ka head tha."

Madan - What ?

"Arre, aapki Bus aa gayi....jaldi kariye."

Achanak Madan ko uss vyakti nay Bus kay aage dhakka de diya aur

Madan ki Bus kay neeche aa jaane se maut ho gayi.

Shehar kay kuch naami contractors aur sarkari adhikari bhi maare gaye

thay.(Jinhone Zest Industries ki jagah uski rival company Den Industries

kikisi naa kisi roop mey madad ki thi.)

Shehar mey ho rahi inn hatyaon ka rahasya ulajhta jaa raha tha. Pehle

Page 21: Indi horror (2007) mohit trendster

se hi pareshaan Ranjan Kumar kay betey Anuj se Police shaq kay aadhar

par pooch taach kar rahi thi.

Lekin maut ka khel to tab bhi badastoor jaari tha.

Place - Den Industries.

"Congratulations Mister Manish, aapne to Den Industries kay

recruitment cell ki surat hi badal kar rakh di. Kitne efficient employees

chun rahe hai aap. Aur dekhiye 1 saal mey hi promotion, presonal

cabin, car, etc, etc, etc....."

Manish - Thankyou, Mister Lalwant, par aapka appointment to 30

minutes baad ka hai.

"Appointment to aapka hai.....maut kay saath."

Manish - Excuse me, ye kya mazaak hai.

"Arre, ye mazaak nahi hai.....achchha dekhiye mujhe...mai kya koi

mazaak karne waala lagta hun."

Manish ka achchha record uski maut ban gaya tha.

Den Industries kay office kay bahar.

"Beta...zara sunna kahan jaa rahe ho ?"

Page 22: Indi horror (2007) mohit trendster

"Den Industries mey job kay liye apply karne."

"Ye Company achchhi nahi hai, baaki jagah kosish karo."

"Lekin mai yahan bhi apply karna chahta hun."

"Meri baat suno bado ki baat aise nahi kaat te...tumhara academic

record achchha hai....Zest mey jaakar try karo....yahan to mujh jaise log

rehte hai.....dekho mujhe."

Uss surat ko dekh kar buri tarah darra hua wo yuvak apne sabhi

documents chhod kar wahan se bhaag khada hua.

Den Industries ko unnchi quality kay raw materials dene waale sabhi

suppliers bhi maare gaye.

Anuj ko Police nay chhod diya aur pareshaani se ghira Anuj waapas ghar

lautne laga. Lekin shayad uske pita nay uski pareshaani ko hamesha kay

liye khatm karne ka mann bana liya tha. Den Industries kay head Shri

Sunil Daam apni official meeting kay liye jaa rahe thay.

Sunil Daam - Driver, Hotel Rasher le chalo.

Driver- 1 Company pehle aayi, uske maalik nay khoob mehnat se sab

jutaya...lekin doosri Company aayi aur uske maalik nay business ethics

ka khayal nahi rakha. Kyu Daam...tum to bade ghatiya 'daam' kay insaan

nikle.

Page 23: Indi horror (2007) mohit trendster

Sunil Daam - Ranjan ?

"Wah, tum to bahut chalak nikle itni jaldi pehchan liya......ab jaldi

marro....mai apne betey ko aur zyada pareshaan nahi dekh sakta."

Driver ki seat khaali ho gayi aur Sunil Daam ki gaadi bina driver kay

aniyantrit ek doosri gaadi se jaa takrayi. Dono gaadiyon ki takkar se

bhayankar blast hua aur dono gaadiyon kay parkhachhe udd gaye.

Doosri Car mey Anuj baitha tha.

Iss haadse mey dono companies kay maliko kay marrne kay baad Den

Industries aur Zest Industries bandh ho gayi aur apni company ki sthiti

sudhaarne kay liye Ranjan Kumar ki aatma ka khooni khel bandh hua.

The End!

Page 24: Indi horror (2007) mohit trendster

6) - Missing Flight

Page 25: Indi horror (2007) mohit trendster

“Flight 297”, comic based on the concept of this story plot is available

on Pothi.com & related networks on Internet. Search “Flight 297 by

Mohit” or “Flight 297 Comic”

Dinesh Fiji ka naagrik tha aur Bharat mey ak Air Traffic Controller kay

roop mey kai saalo se kaam kar raha tha. Uske liye aaj ka din bhi aam

dino jaisa tha. Apni desk par baitha wo tezi se kai Air Planes ko sambhal

raha tha aur kuch dair mey zyadatar Aeroplanes ko wo apni karya

seema se bahar bhej chuka tha.Ab wo apna kaam kuch aaram se kar

raha tha. Dosto se hassi-mazak, ghar ki baatein, aane waale dino kay

plans yahi sab uss Contol Tower par roz aam ki baatien thi.Aaj ka din bhi

aise hi guzar raha tha.Par aaj shayad Dinesh inn baato kay chakkar mey

apne kaam se kuch zyada hi vimukh ho gaya tha.

Dinesh - "Flight 297......Flight 297......this is Northen Amausi Base.....are

you reading me.....hello....."

Ajay-“Kya hua,Dinesh?”

Dinesh-"Flight 297 ko kuch dair pehle sabhi updates di thi aur uske baad

ab dekha to wo radar par nahi hai.”

Ajay-“Oh God,Dobara dekh....kosish karte raho.”

Lekin Dinesh ki anginat kosishein vifal rahi aur Flight 297 se koi jawab

nahi aaya. Dinesh ko uske ghar par haadse ki jaanch honay tak

nazarband kar diya gaya. Flight 297 aakhri update tak Raguveerpur,

Jharkhand, kay ghane jungleo se guzar rahi thi 1 din beet jaane kay

baad ab tak sabhi nay uss Flight kay surakshit honay ki aas tyaag di thi

Page 26: Indi horror (2007) mohit trendster

aur uski khoj been ka kaam jaari tha. Dinesh ki laaparwahi se kai log

bahut gusse mey thay,Sarkar par janta aur bahari desho se dabaav

badhne laga. Dinesh par ak hi din mey kuch jaanleva hamle bhi huey

aur Bharat mey Fiji Dutavaas(Embassy) nay Bharat Sarkar se Dinesh ko

kuch dino tak gupchup tareke se Fiji mey hirasat mey rakhne ka

prastaav rakha taaki uski jaan ko koi khatra naa ho. Dinesh Airport aaya

aur usne Fiji jaa rahi Flight kay liye Amausi Airport par "Check In" kiya.

Jahan usko apna ek parichit Flight Steward Tejas mila jisne usko plane

tak pahunchaya.......... par adhikariyon k anusaar check-in karne kay

baad Dinesh gayab ho gaya. Usse Airport par har jagah dhoonda jaa

raha tha par uska kahi pata nahi tha. Adhikariyo ko pehle se khabar thi

ki Dinesh Fiji logo se chhup kar jaa raha hai aur usko koi nuksaan naa

pahunche isliye uspar nazar bhi rah rahe thay par phir naa jaane kaise

wo gayab ho gaya. Sabhi ko yahi lag raha tha ki kisi ugr sangathan kay

sadasyo nay uska apharan kar liya hai.

LEKIN DINESH TO FLIGHT MEY BAITH CHUKA THA.

Idhar Dinesh Plane mey baith chuka tha aur uska plane udd bhi chuka

tha..................kuch dair tak to sab samanya raha par thodi dair baad

waha ka vatavaran Dinesh ko sandigdh laga. Sabhi yatriyo ki nazar

Dinesh par hi thi aur uski seat bhi sabse alag thi. Usne apne bagal waale

yatri se poocha ki ye flight kaha jaa rahi hai to sabhi nay aksaath jawaab

mey bas yahi kaha......

"Flight 297"

Dinesh ko iss jawab ki umeed nahi thi, wo sihar uttha aur usse pata chal

Page 27: Indi horror (2007) mohit trendster

gaya ki uski galti ki saza dene khud uski galti kay shikaar huey murde

aaye hai.

Dinesh – “Par mujhe to yahan seat tak mera parichit Tejas laya.”

Tejas (vikrit jhulse hue chehre kay saath) – “Tum meri hi seat par baithe

the, mere Dost. Mai Flight 297 ka crew member tha.” Plane mey phir se

murdo ka sammilit swar gunjayman hua.

“Flight 297!”

Dinesh – “Nahi!”

Agle din Flight 297 ka malba Raghuveerpur kay Jungleo mey mil gaya

sabhi yatriyo ki laasho kay avsesh bhi mil gaye aur sabhi yatriyo ki

pehchan,shinakht bhi ho gayi par sabka aashcharya tab apni hadde

todd gaya jab uss malbe mey uss vimaan mey safar kar rahe yatriyo se

ak laash zyada mili aur uss laash ki pehchan Dinesh kay roop mey hui.

The End!

Page 28: Indi horror (2007) mohit trendster

*Fight for the Right (Reloaded)

Yark aur Rezadh desh k beech tanaav ek baar phir jung mey tabdil ho gaya tha. Rezadh desh muqable mey hamesha se kamzor raha tha aura b tak hui kuch ladaiyon mey Yark desh ne is baat ka faayda utha kar Rezadh ki kaafi zameen hadap li thi. Yark par 40 saalo se raj tha ek tanashah Swamley ka jo apna raj badhane k liye koi bhi raasta apnane k liye taiyaar rehta tha. Sirf Rezadh hi nahi apnea as-paas k aur kuch desho se bhi Yark desh k rishte talkh hi rahe the in 4 dashako mey. Yark ne fitrat k mutabik ek baar phir hamla kar diya tha Rezadh par. Brigadier Adam Castro k netratva mey Rezadh ki ek badi tukdi mahatvapoorna morche par dati hui thi. Apne sainiko mey ek ka ajeeb bartaav dekh Adam bifar pade.

Page 29: Indi horror (2007) mohit trendster

“Aakhir tumhe ho kya gaya hai D1 (Gary), drills mey tum best perform karte the but tumhare chehre par ye chinta aur shareer mey itni harkaten kyu ho rahi hai? Kya asli dushman k saamne tumhare honsle past ho gaye hai? Lagta hai tum baton aur practice k sher ho bas!” “Sir, meri pant kuch ghus gaya hai jo neeche se kaatna shuru karte hue dheere dheere upar ki taraf badh raha hai. Dard ki intensity se lag raha hai ki wo is Registaan ki badi makdi Grey Widow hai. Mujhe darr hai ki agar wo upar aa gayi to uska kaatna itna ghatak ho sakta hai ki meri personality amputate ho jaayegi…Sir!” “D1…tum bunker se upar hue to tumhari khopdi ud jaayegi. Jaan pyari hai ya personality? Waise ab makdi ki location kya hai?” “Sir, wo base k paas pahunch gayi hai. Mai aur nahi ruk sakta…” D1 soldier uchhla aur turant dushman sniper ki goli chali. *FLANNNNGGGGGG* Brigadier Adam - “Ye kaisi aawaz thi. Jaise koi ghanta baja ho….D1 tumhe goli lagi hai?” Soldier D1 - “AAAIIIII…Haan…Sir! Base ko chhu kar gayi hai….” Brigadier Adam - “Oh No! D1 ki personality gayi.” Soldier D1 - “Sir bas skin gayi hai thodi… par Makdi bhi goli se ud gayi hai Sir.” Brigadier Adam – “Blessing in Disguise D1! First Aid karke waapas bunker par lago…Pant dhang se jhaad kar aana is baar.”

Page 30: Indi horror (2007) mohit trendster

Rezadh ki sena kai morcho par nakaam ho rahi thi. Unki banayi gayi neetiyan koi jasoos ya sena ka adhikaari leak kar raha tha. Kuch der mey 2 darjan sainiko aur kuch ghayalo ki mamooli tukdi ke saath, Major General Gary Castro (jo Adam ka bada bhai tha), Adam ki location par pahuncha. Gary ke kandhe par goli lagi thi. Apne Bhai aur senior officer ki ye dasha dekh Adam ka manobal toot gaya. Dono bhai is tarah milne se bhavuk the kyoki Rezadh ki behad kamzor unhe andaza ho chuka tha ki ye shayad unki aakhri mulaqat hogi. Par unke sainiko ka manobal na toote isliye dono fauji aupcharik roop se hi baaten kar rahe the. Gary – “Humari forces is region mey simatti jaa rahi hai. Agar aesa jaari raha to dushman Air Force ko humari army ko khatm karne ka mauka mil jaayega jo pehle se hi ginti mey dushman k muqable kaafi kum hai. Mere paas bas itne hi sainik bache the isliye mai tumhari location par aa gaya jahan humari sankhya ladne layak hai.” Adam aur Gary apne command chamber mey gaye, aage ki ranniti banana k liye. Dono ko samajh nahi aa raha tha ki aakhir yudh se pehle aur yudh k dauraan banayi gayi mahatvapoorna yojnaye leak kaun kar raha tha? Thodi der baad. Gary – “Major, battalion ko Degree Epicentre par bheje. Purple Herons reinforcements (General’s Regiment) ki tributary banne ka order do….Major….Major…” Transmission systems ko sambhal raha Major ektak system screens ko nihar raha tha aur uske muh se jhaag nikal rahe the.

Page 31: Indi horror (2007) mohit trendster

Adam (Check karne k baad) – “Major to marne ki kagaar par hai! Sir! Shayad yahi saari information leak kar raha tha. Is ne cyanide liya hai.” Gary – “Par achanak cyanide khaane ki kya naubat aa gayi isko?” Adam – “Kyoki isne apna kaam kar diya hai, Border k paas lagi missiles isne humari sena k head quarters aur President ke gupt nivas (jo sirf humey pata hai) jaise mahatvapoorna thikano par chhodne k codes daal diye hai. Sab khatm ho gaya hai Sir…bas ye base aur kuch units bachi hai Major Regiment k alawa. Ye marte hue screen ki taraf kuch ishara kar gaya hai…” Major General Gary ne aapa kho diya aur apni pistol se mare hue Major par goliyan chala di. Gary - “Suwar ki paidaish…..Brigadier k alawa sab khaali kar do ye control room aur bahar position lo.” Sabke jaane k baad. Gary – “Bachi units aur Major Regiment ko South West mey safe points jaane k codes do. Lagta hai ye territory bhi Yark k haath aa jaayegi. Par Itni jaldi mujhe haar nahi maanni…” Adam ne units aur Major Regiment ko bataye codes diye. Gary – “Adam mere Bhai mai tujhe marte hue nahi dekh sakta. Tu nikal jaa yahan se, maine Bhabhi aur tere liye paiso aur padosi desh Wrazia mey rehne ka intezaam kar diya hai. Meri chinta mat kar…Bhaag jaa mere Bhai. Mere parivaar ko bhi saath le jaana, unka khayal rakhna.”

*~~~~*

Page 32: Indi horror (2007) mohit trendster

Gary haarkar baith gaya, Adam ne apne bade bhai ki aankhon mey bachpan k us din k baad pehli baar aansu dekhe the jab unke Pita Colonel John Castro…32 saal pehle Yark se jung k liye ravana ho rahe the. 8 Saal ka Gary aur 5 Saal k Adam ne unhe rone k liye kursi, mez, takiyo, gaddo ki deewaar bana di thi taaki unke papa ruk jaaye. Adam – “Mat jao na Papa dekho Mumma to kuch bol bhi nahi rahi hai, bas apne kamre mey ro rahi hai kal raat se. Aaj ki tarah Gary Bhaiya roz aapke liye Bread Moon ka break fast bana denge…mat jao Papa..Please…” Gary – “Daddy aap jab kahoge mai padhunga, Mumma ki help karunga. Maa jao na Papa…” Wo takiyo, gaddo se bani deewaar aaj John ko Dushman ki regiment se bhaari lag rahi thi. Par wo din bhi aaj ki tarah ki kroor tha. Us din bhi Rezadh ki haalat kamzor thi aur haar nischit thi. John bachcho ke gale laga raha. Apni biwi Martha aur bachcho se John beintiha pyaar karta tha. Wo bachcho ka bachpan dekhna chahta tha, apne parivaar k saath samay bitana chahta tha, unhe duniya ki har khushi dena chahta tha…Martha se maafi maangna chahta tha aur ek baar khul kar rona chahta tha. Martha ne raat se khud ko kamre mey band kar rakha tha aur siskiyon ki aawazen lagataar aa rahi thi. Usme John ko vida karne ki himmat nahi thi….vida usne pehle bhi kiya tha John ko par….apne pati ko aakhri baar vida karne ki himmat shayad duniya ki kisi patni mey nahi hoti. John ne master key se ab tak band darwaza khola aur bachcho ko bahar kar phir se darwaza band kar liya.

Page 33: Indi horror (2007) mohit trendster

Gary aur Adam ko andar se rote apne Mata-Pita ki aawazen aa rahi thi. Unke nanhe dimaag ye kalpana nahi kar paa rahe the ki aakhir baat kya hai? Maa to kabhi kabar ro diya karti thi par apne Pita ko rote hue sunna kuch ajeeb tha bachcho k liye. Dono k sapno mey rote apne mata-pita ki wo aawazen aksar goonjti thi. Aakhirkar, John k saath Martha bahar aayi. Ab dono chup the par ek doosre ko ektak dekhe jaa rahe the jaise aankhon se zindagi bhar ki baaton ka hisaab kuch palo mey nipta den. Gary aur Adam ne aakhri kosish ki….Papa ne dono ko apni god mey uthakar juttha dilasa diya taaki wo nikal sake. John dono ko dekh kar soch raha tha ki inka bhavishya kya hoga? Bade hokar ye kya banenge? Kaash in sawalo k jawab usko pata hote. “Mai waapas aaunga mere bachcho…” Rezadh jung haar gaya aur John us raat hi apne desh k liye shaheed ho gaye. Martha ne bachcho ki parvarish ki, unhe kaabil banaya. Par andar hi andar wo gam se khokhli hoti gayi, aksar darwaze par usko John k lautne ka intezaar rehta. Jis din usko Gary k select hone k 3 saal baad Adam k bhi army mey chunkar Lieutenant bana….Martah ko jaise license mil gaya…usne phir se wo darwaza band kar liya aur jab Gary aur Adam ne wo darwaza khola to apni maa ki lash latki paayi. Martha ne John se apne bachcho ki parvarish kar kaabil banane ka aankhon mey kiya vaayda poora kiya tha…shayad ab John se milne k liye wo aur nahi ruk sakti thi.

*~~~~* Tabhi dono ko wireless sandesh mila.

Page 34: Indi horror (2007) mohit trendster

“Sir, humey kaafi sankhya mey sainik reinforcement mey aate dekh rahe hai. Par kai sandesho aur warnings k baad bhi wo khule maidaan mey badhe jaa rahe hai dushman ki taraf…is se wo aasani se unke target ban jaayenge range mey aane par.” Gary – “Ye kahan se aa gaye?” Adam – “Ye reserve forces hongi Sir jo ab sabse badi command k suppor k liye badh rahi hongi.” Wireless k messages se pata chala ki Rezadh army ki baaki units aur Major regiment, doosre regions mey pahunch rahi hai border k paas. Gary – “Kaise ho gaya ye sab? Ab kaun gaddar bacha reh gaya. Hum dono ne unhe surakshit rakhne k liye alag location coordinates diye the.” Adam (Gary par Gun taante hue)– “Coordinates maine badle the Bhaiya…taaki humari bachi units surakshit rahen aur aapke dwara dushman ko chinhit kiye safe points par jaakar mare na jaaye.” Gary – “Tune..par…kyu…Bhai…” Adam – “Natak mat karo Bhaiya…shaq to mujhe aapke yahan aane par hi ho gaya tha, aapki location aesi nahi thi jo Yark ka aapki itni badi unit par aesa hamla hota ki bas kuch jawan bachte. Dushman ki range border aura as-paas k elako mey hai, desh ke itne andar nahi jahan aap logo ki gupt location thi..Ek baat aur missile chalane k aur gupt locations k codes Major rank k operator k paas nahi hote…haan Major General k officer k paas hote hai. Aapne hi Major ko cyanide ki syringe lagayi codes dene k turant baad taaki wo kuch samajh na paaye…Marne se pehle uski ungli apne Cuban Cigar ki taraf thi….Fidel Castro…Castro…Gary Castro…Castro…”

Page 35: Indi horror (2007) mohit trendster

Gary – “Ab tu sab samajh hi gaya hai to Bhai tu natak mat kar aur sachchai ko dekh…Yark is baar koi territory nahi balki poora Rezadh hadapne badh raha hai…aage tera parivaar hai, mera parivaar hai. Hum dono ko jeena hai. Mai apne bachcho ko waise nahi chhod sakta jaise Papa humey chhod gaye the. Ek jhooth ke sahare…maine Papa ka bahut intezaar kiya par phir dil ko manaya ki Papa ka wo jhooth mai apne parivaar se nahi dohraunga chahe desh se gaddari karni pade. Dono desho mey phir se tanaav k baad, Yark ka Tanashah Swamley Rezadh army k aese bade officers ki taak mey tha jo us se mil jaayen. Mujhe pata tha ki ab bhi haar nishchit hai isliye ye raasta chuna.” Adam – “Bhaiya…desh k kai parivaaro aur anginat vaayde poore rahe isliye fauji aksar apne parivaar aur vaayde adhure chhod dete hai….Papa se maine ye baat seekhi hai par shayad aapne nahi. Maaf karna Bhaiya…Desh se gaddari karne k jurm mey mai aapko bandi bana raha hun….” Gary ne asavdhaan Adam ko ek vaar mey chit kar uski gun us se door kar di aur mare hue major ki LMG Adam par taan di. Gary – “Mujhe pata tha ki tu nahi maanega….mujhe yahan se jaldi nikalna hai nahi to Yark Air Force k hamle mey maara jaunga. Tune aur teri vatan parasti ne pehle hi mera bahut samay barbaad kar diya hai. tujhe maarne se pehle tujhe ye tassalli de dun ki tere parivaar ko mai sahara dunga. Maaf kar de Adam…Alvida!” Gary ne trigger daba diya. Adam ne kahin padha tha ki maut se pehle har cheez dheemi gati se hoti hai aur apna jeevan ghoom jata hai aankhon k saamne. Uski taraf badhti goliyon ki raftaar to dheemi ho gayi thi par uski aankhon k saamne uska jeevan nahi ghuma yaani abhi maut nahi aayi

Page 36: Indi horror (2007) mohit trendster

thi. Par kuch palo tak khade rehne k baad usko laga ki goliyan wakai ruk gayi hai hawa mey. Gary bhi awak khada Adam k peeche kuch dekh raha tha. Adam ko apne kandhe par ek haath mehsoos hua….us kamre mey dono k alawa kaun tha? Sab to Gary k orders par bahar chale gaye the? Kya Major zinda tha? Usne palat kar dekha to wo chaunk kar zameen par hi baith gaya. “Maine kaha tha na Bachcho mai waapas aaunga…” John Castro ki jeeti jagti lash apni fauji vardi aur bandook mey khadi thi. Adam-Gary ki dhundli yaaden jaise taza ho gayi. “….aur Gary, maine jhooth nahi bola tha.” Itna kehkar John ne Gary par goliyan chala di aur Gary mar gaya. “Wo reinforcement force nahi Adam pehle ki jungo mey mare gaye sainik hai jo poore Rezadh par sankat dekh kar dobara aaye hai.” Ab kamaan Adam ne sambhal li. Ab sainiko ki sankhya Rezadh ki zyada thi par Adam chhupkar bachaav k paksh mey tha. Lekin murde sainik kisi aadesh ka palaan nahi kar rahe the wo apni purani rifles, revolvers liye badhe jaa rahe the. Yahan tak ki uske pita John ne bhi us se vida li. Adam unhi 5 saal k bachche si nazron se John ko dekh raha tha… John – “Beta, tu bada ho gaya hai ab god mey nahi utha sakta…galey mil kar kaam chala le….ha ha ha…” Adam muskuraya…aur John ne us se waise hi aankhon mey sadiyon ki baaten kar di jo kabhi jaate waqt usne Martha se ki thi. Jiska darr tha wahi hua aur Yark ki Air Force ne maidaano mey badh rahe murde sainiko par bombs barsaye…maidaan dhue se bhar gaya.

Page 37: Indi horror (2007) mohit trendster

Adam ko yakeen tha ki sabke chhitade ud gaye honge. Par jab dhua chhanta to nazaara behad bhayanak tha kyoki kate pair, Bina sar kay dhadd, shatigasth haath......yaha tak ki alag hui aankhien bhi Yark ki seema uar uske sainiko ki taraf badh rahi thi. Ye nazara to morche par bache Rezadh kay sainiko ki bhi saansen rook raha tha. Jald hi Murdo nay Yark k sainiko par paar paa liya. Par phir bhi sabhi murda shareer shatigrast haalat mey badhe jaa rahe thay......pata nahi kya thi unki manzil.....wo sabhi har baadha ko par kar aur hazaro kilometeres ka safar tayy karke pahunche uss bunker tak jaha Yark ka shashak Swamley chuppa hua tha. Murde zameen mey sama gaye aur bhumigat buker kay neeche se nikle. Swamley aur uske bade officers ko bahut buri maut kay ghaat utaara gaya. Agle din seema rekha kay nishaan 32 saal pehle waale the aur Rezadh ko apni khooyi zameen aur sammaan waapas mil gaya tha. Adam ne apne bachcho se waapas lautne ka vaayda nibhaya aur Gary ka parivaar bhi apna liya. The End!