Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke ... · Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/123,...

14
Page 1 of 14 Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib Fasl-01 : Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Zamane Ka Sab Se Behtarin Zamana Hone Ka Bayan 1.“Hazrat Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Sab Se Behtarin Mera Zamana Hai Phir Jo In Ke Baa‟d Honge Aur Phir Jo Un Ke Baa‟d Honge. Hazrat Imran RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Farmate Hain Mujhe Yaad Nahin Ki Apne Zamaane Ke Baa‟d Do-02 Zamanon Ka Zikr Farmaya Ya Teen-03 Ka. (Phir Farmaya: ) Phir Tumhaare Baa‟d Aisi Qoum Aayegi Ki Woh Gawaahi Denge Hala‟n Ki Un Se Gawaahi Talab Nahin Kee Jaayegi . Woh Khayaanat Karengi Hala‟n Ki Woh Amin Nahin Banaaye Jaaenge. Woh Nazrein Maanege Aur Un Ko Pura Nahin Karenge Aur Un Par Charbi Chadhi Hogi.” Is Hadith Ko Imam Bukhari Aur Imam Tahawi Ne Riwayat Kiya Hai. [Bukhari Fi As-Sahih, 03/1335, Raqam-3450, Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/113, Raqam-841, Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/196, Raqam-1289, Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/151, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/23, Raqam-01.] 2.“Hazrat Abd-il-Allah Bin Mas‟ood RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Bayan Farmaya : Meri Ummat Ke Behtarin Loh Woh Hain Jo Is Qarn(Zamane) Me Hain Jo Mere Qarib Hai, Phir Woh Log Hain Jo Un Ke Qarib Hain, Phir Woh Log Hain Jo Un Ke Qarib Hain, Un Ke Baa‟d Aise Log Aaenge Jin Me Se Kisi Aik Kee Shahadat Us Kee Qasam Par Saabiq Hogi Aur Us Kee Qasam Us Kee Shahadat Par Saabiq Hogi.” Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai. [Muslim Fi As-Sahih, 04/1962, Raqam-2533, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqam-3240, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/40, Raqam-5103, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/23, 24, Raqam-02.] 3.“Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Se Riwayat Hai Ki Aik Shakhs Ne Huzoor Nabiyy-E- Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Sawal Kiya Ki Koun Se Log Behtar Hain Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Sab Se Behtar Log Is Zamaane Ke Hain Jis Me, Mein Maujood Hoo‟n Is Ke Baa‟d Doosare Zamaane Ke Aur Us Ke Baa‟d Teesare Zamaane Ke.” Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai. [Muslim Fi As-Sahih, 04/1965, Raqam-2536, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/156, Raqam-25272, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqam- 32409, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/629, Raqam-1475, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/24, Raqam-03.] 4.“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya : Meri Ummat Ke Behtarin Log Is Zamaane Ke Hain Jis Me Mein Mab‟ooth Huwa Ho‟n Phir Woh Log Hain Jo Un Ke Qarib Hain Allah Hee Khub Jaanta Hai Ki Aap Ne Teesare Zamaane Ka Zikr Kiya Ya Nahin Phir Aik

Transcript of Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke ... · Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/123,...

Page 1 of 14

Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ke Sahaba-e Kiram

Ridwanu Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Manaqib

Fasl-01 : Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Zamane Ka Sab

Se Behtarin Zamana Hone Ka Bayan

1.“Hazrat Imran Bin Husayn RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Sab Se Behtarin Mera Zamana Hai Phir Jo In Ke Baa‟d Honge Aur Phir Jo Un Ke Baa‟d Honge.

Hazrat Imran RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Farmate Hain Mujhe Yaad Nahin Ki Apne Zamaane Ke Baa‟d Do-02

Zamanon Ka Zikr Farmaya Ya Teen-03 Ka.

(Phir Farmaya: ) Phir Tumhaare Baa‟d Aisi Qoum Aayegi Ki Woh Gawaahi Denge Hala‟n Ki Un Se Gawaahi

Talab Nahin Kee Jaayegi .

Woh Khayaanat Karengi Hala‟n Ki Woh Amin Nahin Banaaye Jaaenge.

Woh Nazrein Maanege Aur Un Ko Pura Nahin Karenge Aur Un Par Charbi Chadhi Hogi.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Aur Imam Tahawi Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Bukhari Fi As-Sahih, 03/1335, Raqam-3450, Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/113, Raqam-841, Ibn Ja’d Fi Al-Musnad, 01/196, Raqam-1289,

Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/151, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/23, Raqam-01.]

2.“Hazrat Abd-il-Allah Bin Mas‟ood RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Bayan Farmaya :

Meri Ummat Ke Behtarin Loh Woh Hain Jo Is Qarn(Zamane) Me Hain Jo Mere Qarib Hai, Phir Woh Log

Hain Jo Un Ke Qarib Hain, Phir Woh Log Hain Jo Un Ke Qarib Hain, Un Ke Baa‟d Aise Log Aaenge Jin Me

Se Kisi Aik Kee Shahadat Us Kee Qasam Par Saabiq Hogi Aur Us Kee Qasam Us Kee Shahadat Par Saabiq

Hogi.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1962, Raqam-2533, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqam-3240, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 09/40, Raqam-5103,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/23, 24, Raqam-02.]

3.“Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Se Riwayat Hai Ki Aik Shakhs Ne Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Sawal Kiya Ki Koun Se Log Behtar Hain Huzoor

Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Sab Se Behtar Log Is Zamaane Ke Hain Jis Me, Mein Maujood Hoo‟n Is Ke Baa‟d Doosare Zamaane Ke Aur

Us Ke Baa‟d Teesare Zamaane Ke.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1965, Raqam-2536, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/156, Raqam-25272, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqam-

32409, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/629, Raqam-1475, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/24, Raqam-03.]

4.“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Meri Ummat Ke Behtarin Log Is Zamaane Ke Hain Jis Me Mein Mab‟ooth Huwa Ho‟n Phir Woh Log Hain Jo

Un Ke Qarib Hain Allah Hee Khub Jaanta Hai Ki Aap Ne Teesare Zamaane Ka Zikr Kiya Ya Nahin Phir Aik

Page 2 of 14

Aisi Qoum Aayegi Jo Farbihy Ko Pasand Karenge Woh Shahadat Talab Kiye Jaane Se Pehle Shahadat

Denge.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1923, Raqam-2534, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 02/228, Raqam-7123, Shawkani Fi Nayl-ul-Awtar Min Asrar Muntaqa Al-

Akhbar, 09/208, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/25, Raqam-04.]

5.“Hazrat Imaran Bin Hasin RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Meri Ummat Me Mere Zamaana-E-Bi‟that Ke Log Behtar Hain Phir Un Se Muttasil Zmanae Ke Log Raawi

Kehte Hain Mujhe Ma‟loom Nahin Ki Teesre Zamaane Ka Zikr Farmaya Ya Nahin ?

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Phir Aise Log Paida Honge Jo Baghair Kahe Shahadat Denge Amaanat Me Khiyaanat Karenge Aur Un Me

Motaapa Aam Hoga.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Aboo Dawud Aur Ahmad Ne Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Farmate

Hain Ki Yeh Hadith Hasan Sahih Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 04/500, Raqam-2222, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/214, Raqam-4657, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/440,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/123, Raqam-6729, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/25, 26, Raqam-05.]

6.“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Mawla RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Woh Farmate Hain Ki Jab

Mein Ahwaaz Me Chal Raha Tha To Achaanak Apne Saamne Mein Ne Aik Aaddami Ko Khacchar Par

Sawaar Dekha Aur Woh Keh Raha Tha Aye Allah, Mere Zamaane Ke Log Is Ummat Se Jaa Chuke Hain Aye

Allah, Mujhe Un Ke Saath Mila De Mein Ne Kaha :

Mein Bhi Tumhaati Du‟aa Me Daakhil Hona Chaahta Hoo‟n To Woh Aadmi Kehne Laga Aur Mera Yeh Dost

Bhi (Ya‟ni Is Ko Bhi Un Ke Saath Mila De) Agar Yeh Isi Tarah Ka Iraadah Rakhta Hai Woh Kehne Laga Ki

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Meri Ummat Me Se Behtarin Zamaana Mera Zamaana Hai Phir Un Logo‟n Ka Zamaana Hai Jo Mere

Zamaane Ke Saath Mile Huwe Hain

Phir Un Logo‟n Ka Zamaana Jo Us Ke Saath Mile Huwe Hain Raawi Kehte Hain Ki Aap SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Teesri Martaba Aisa Farmaya Ya Nahin Phir Un Ke Baa‟d Aisi Qaum

Aa‟egi Jin Me Se Motaapa Bohat Ziyaada Paaya Jaa‟ega Woh Shahadat Ke Liye Khoon Bahaaenge Lekin Us

Ka Sawaal Nahin Karenge Phir Mein Ne Dekha (Aisa Kehne Waale) Buraydah Aslami RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhu They.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Aur Aboo Ya‟la Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 05/350, Raqam-23010, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/416, Raqam-8420, Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/39, Raqam-299,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/26, 27, Raqam-06.]

7.“Binte Abi Jahl Se Riwayat Hai Ki Aik Dafa‟ Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Hamare Paas Se Guzare Aur Pine Ke Liye Aik Piyaale Me Paani Le Kar Aayi Itne Me Aik Aadami

Jis NeDo-02 Sabj Rang Ke Kapde Pahne They Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Kuchh

Puchha To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Allah Kee Ibaadat Karo Aur Kisi Ko Us Ka Sharik Na Theraawo Aur Namaz Qaaim Karo Zakaat Do.

Raawi Kehte Hain Phir Aap Ne Farmaya :

Ummat Me Se Behtarin Mere Zamaane Ke Log Hain Phir Woh Jo Us Ke Saath Mile Huwe Hain.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

Page 3 of 14

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 24/258, Raqam-258, Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 05/73, Raqam-3169, Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Al-Isabah Fi

Tamyiz-is-Sahabah, 07/559, Raqam-10974, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/27, Raqam-07.]

8.“Hazrat Samurah Bin Jundub RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Meri Ummat Me Se Behtarin Zamaana Woh Hai Jis Zamaane Me Mein Un Kee Taraf Mab‟ooth Huwa Phir

Un Ka Jo Us Ke Saath Mile Huwe Hain Aur Phir Un Ka Jo In Ke Saath Mile Huwe Hain.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/76, Raqam-96, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/19,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/28, Raqam-08.]

9.“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Behtarin Zamana Woh Hai Jis Me, Mein Maujood Hoo‟n Phir Doosra Phir Teesra Phir Chautha Pas Allah

Ta‟ala Un Kee Zarrah Barabar Parwaah Nahin Karega.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/329, Raqam-3425, Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/220, Raqam-352, Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa

Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/172, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 10/19, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/28, Raqam-09.]

Fasl-02 :Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee

Ziyarat Karne Waale Mu’minin Ke Liye Khushkhbari Ka Bayan

10.“Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Us Musalman Ko Jahannum Kee Aag Hargiz Nahin Chhuegi Jis Ne Mujhe Dekha Ya Mujhe Dekhne Waale

(Ya‟ni Mere Sahabi) Ko Dekha.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Ise Hasan Kaha Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/694, Raqam-3858, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/29, Raqam-10.]

11/11

“Hazrat Aboo Saeed Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Se Riwayat Karte Hain Ki Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jis Ne Mujhe Halat-E-Iman Me Dekha Aur Mujh Par Iman Laaya Us Ke Liye Khushkhubri Hai Aur Us Ke

Liye Do Barah Khushkhabri Hai Jo Mujh Par Bin Dekha Iman Laaya.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/213, Raqam-7230, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/29, Raqam-11.]

12/12

“Hazrat Waathelah Bin Asqa‟ RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Khuda Kee Qasam Tum Us Waqt Tak Khair Mein Rahoge Jab Tak Tum Me Woh Baaqi Hai Jis Ne Mujhe

(Halat-E-Iman Me) Dekha Aur Meri Suhbat Ikhtiyaar Kee (Phir Farmaya) Khuda Kee Qasam Tum Us Waqt

Tak Khair Me Rahoge Jab Tak Tum Me Woh Baaqi Hai Jis Ne Us Ko Dekha Jis Ne Mujhe Dekha Aur Us Kee

Suhbat Ko Ikhtiyaar Kiya Jis Ne Meri Suhbat Ko Ikhtiyaar Kiya.”

Page 4 of 14

Is Hadith Ko Imam Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/405, Raqam-32417, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/30, Raqam-12.]

13/13

“Hazrat Abd-ur-Rahman Juhni RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Farmate Hain Ki Hum Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Paas They Us Dauraan Do-02 Ghod Sawaar Namoodaar

Huwe Pas Jab Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Unhein Dekha

To Farmaya :

Do Kundi Muzhaji Hain Yaha‟n Tak Ki Jab Woh Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ke Paas Aaye To Woh Muzhaj Se Aaye They Raawi Kehte Hain Ki Un Me Se Aik Huzoor

Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Qarib Huwa Taa Ki Aap SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Bay‟at Kar Sake Pas Jab Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Us Ka Haath Pakda To Woh Aadmi Kehne Laga :

Ya RasoolAllah ملسو هيلع هللا ىلص!

Aap Kee Kya Raay Hai Us Shakhs Ke Baare Jis Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ko Dekha Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Par Imaan Laaya Aur

Aap Kee Tasdiq Kee Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Us Ke Liye Mubarakbaad Ho.

Raawi Bayan Karte Hain Phir Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Us Ke Haath Par Apna

Haath Phera Phera Phir Woh Aadmi Chala Gaya Aur Doosra Aadmi Aage Badha Yaha‟n Tak Ki Huzoor

Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Us Ke Haath Ko Padkda Taa Ki Us Kee

Bay‟at Kar Sake To Woh Aadami Arz Karne Laga :

Ya RasoolAllah ملسو هيلع هللا ىلص!

Aap Kee Kya Raay Hai Us Shakhs Ke Baare Me Jo Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee

Ittiba‟ Aur Tasdiq Kare, Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Use Do-02 Dafa‟ Mubarakbaad Ho.

Raawi Bayan Karte Hain Phir Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Us Ke Haath Par Apna

Haath Phera Woh Aadmi Waha‟n Se Chal Diya.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/152, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/289, Raqam-742, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/30, 31, Raqam-

13.]

14/14

“Hazrat Sahl Bin Sa‟d RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Aye Mere Allah!

Mere Sahabah Ko Bakhsh De Aur Use Bhi Bakhs De Jis Ne Un Ko Dekha Jinhone Mujhe Dekha.

Raawi Kehte Hain Mein Ne Kaha Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Ke Us Farman “من ى ول ?Se Kya Muraad Hai (Aur Jis Ne Mujh Ko Dekha) ”ران

To Unhone Ne Jawab Diya Us Se Muraad Woh Log Hain Jinhone Ne Un Ko Dekha Jinhone Unhein (Sahaba

Ko) Dekha.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Aur Imam Aboo Nu‟aym Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 06/166, Raqam-5874, Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 04/254, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-

is-Sahabah,/31, 32, Raqam-14.]

Page 5 of 14

Fasl-03 :Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ka Aap SallAllahu

Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Ummat Ke Liye Sabab-E-Amaan Hone Ka Bayan 15/15

“Hazrat Aboo Burdah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Hum Ne

RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Namaz-E-Maghrib Padhi Phir Hum Ne

Kaha Ki Agar Hum Yahin Baythey Rahein Yaha‟n Tak Ki Ishaa‟ Bhi Aap Ke Saath Padhen (To Yeh Behtar

Hoga) Woh Kahte Hain Ki Hum Baithey Rahe Phir Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Bahar Tashrif Laaye Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Tum Yaha‟n Se Gaye Nahin To Hum Ne Arz Kiya :

Ya RasoolAlla ملسو هيلع هللا ىلص, Hum Ne Aap Ke Saath Maghrib Kee Namaz Ada Kee Aur Phir Hum Ne Kaha Ki Agar

Hum Yahin Baithey Rahe Yaha‟n Tak Ki Isha‟ Kee Namaz Bhi Aap Ke Saath Padhein To Bahot Achchha

Hoga.

Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Tum Ne Bahut Achchha Kiya Ya Farmaya :

Thik Kiya.

Phir Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apna Sar(Mubarak) Aasman Kee Taraf Uthaaya

Aur Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Aksar Chehra-E-Aqdas Aasmaan Kee Taraf Uthaate

They Phir Farmaya :

Taare Aasmaan Ke Liye Bachaao Hain Aur Jab Taare Khatam Ho Jaaenge To Jis Cheez Ka Wa‟dah Kiya

Gaya Hai Woh (Ya‟ni Qiyamat) Aasmaan Par Aa Jaaegi Aur Mein Apne Sahaba Ke Liye Dhaal Hoo‟n Aur

Jab Mein Chala Jaaunga To Mere Sahaba Par Bhi Woh Waqt Aayega Jis Ka Un Se Wa‟dah Hai Aur Mere

Sahaba Meri Ummat Ke Liye Bachaao Hain Aur Jab Mere Sahaba Chale Jaaenge To Meri Ummat Par Woh

Waqt Aayega Jin Ka Un Se Wa‟dah Kiya Gaya Hai.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1961, Raqam-2531, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/398, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 13/260, Raqam-7276,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/33, 34, Raqam-15.]

16/16

“Hazrat Aboo Buraydah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hain Ki RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi

Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba Me Se Jo Sahabi Kisi Zameen Par Faut Hoga To Qiyamat Ke Din Un Ke Liye Noor Aur

Rahnuma Ban Kar Uthega.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/697, Raqam-3865, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/34, Raqam-16.]

17/17

“Hazrat Ali Bin Abi Talib KarramAllahu Ta‟ala Waj‟hah-ul-Karim Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-

Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Qiyamat Us Waqt Tak Nahin Aayegi Jab Tak Mere Sahaba RadiyAllahu Ta‟ala „Anhum Me Se Kisi Aadami

Ko Is Tarah Dhoonda Jaaega Jis Tarah Gumshudah Cheez Ko Talaash Kiya Jaata Hai Lekin Woh Nahin

Milti.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/89, Raqam-675, ‘Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/52, Raqam-69, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/34,

35, Raqam-17.]

Page 6 of 14

18/18

“Hazrat Aboo Burdah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Apne Waalid Se Riwayat Karte Hain Ki Rasool-ul-Allah

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba Meri Ummat Ke Liye Bachaao Ka Zariya Hain Aur Jab Mere Sahaba Chale Jaaenge To Meri

Ummat Par Woh Waqt Aayega Jis Ka Un Se Wa‟dah Kiya Gaya Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqam-32406, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/35, Raqam-18.]

19/19

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Ki Woh Farmate Hain Ki

RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Meri Sahaba Kee Misaal Sitaaro‟n Kee Tarah Hai.

Jin Se Raaste Kee Talaash Kee Jaati Hai Pas Tum Mere Sahaba RadiyAllahu Ta‟ala „Anhum Me Se Jis Ke

Qaul Ko Bhi Pakdoge Hidayat Paa Jaaoge.”

Is Hadith Ko Imam Abd Bin Humayd Ne Riwayat Kiya Hai.

– [‘Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/250, Raqam-783, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/35, Raqam-19.]

20/20

“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Se Suna Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam

Ne Farmaya :

Mein Ne Apne Rab Se Apne Sahaba Ke Ikhtilaaf Ke Baare Me Suwaal Kiya To Mujh Par Wahiy Kee Gayi :

Aye Muhammad ملسو هيلع هللا ىلص!

Aap Ke As‟hab Mere Nazdeek Sitaaro‟n Kee Tarah Hain.

Ba‟z Ba‟z Se Quwwat Me Afzal Hain Aur Har Aik Ko Roshani Haasil Hai Pas Jis Ne Un Ke Ikhtilaaf Me Se

Jis Par Woh Hain Kuchh Le Liya Pas Woh Mere Nazdeek Hidayat Par Hai.”

Is Hadith Ko Imam Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 02/310, Raqam-3400, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/36, Raqam-20.]

Fasl-04 :Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Apne

Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Kee Muhaafazat Ka Hukm

Dene Ka Bayan 21/21

“Hazrat Jabir Bin Samurah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Jaabiya Ke Muqam Par Hazrat

Umar Bin Khattab Ne Hum Se Khitaab Kiya Aur Farmaya Ki RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Hamare Darmiyan Khade They Jaise Mein Tumhare Darmiyan Khada Hoo‟n Aur Farmaya :

Mere Sahaba Ka Khayaal Rakhna Aur Phir Jo In Ke Ba‟d Log Honge Un Ka Aur Phir Jo Un Ke Ba‟d Honge.

Phir Jhoot Aam Ho Jaaega Hatta Ki Aik Shakhs Khud Ba Khud Gawaahi Dega Hala‟n Ki Us Se Gawaahi

Nahin Lee Jaaegi Aur Woh Qasam Khaayega Hala‟n Ki Us Se Qasam Nahin Lee Jaaegi.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Majah Fi As-Sunan, 02/791, Raqam-2363, Maqdisi Fi Al-Ahadith-ul-Mukhtarah, 01/193, Raqam-98, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/37,

Raqam-21.]

22/22

“Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

Page 7 of 14

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Apne Sahaba Se Farmaya :

Tum Loogo‟n Me Aise Ho Jaise Khaane Me Namak Hota Hai.

Raawi Kahta Hain Ki Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Kaha Ki Namak Ke Baghair Khaana

Achchha Nahin Hota Phir Hazrat Hasan RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Kaha Us Qaum Ka Kya Haal Hoga Jis

Ka Namak Hee Chala Gaya.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqam-32405, Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 01/59, Raqam-17, Ibn Mubarak Fi Az-Zuhd, 01/200,

Raqam-572, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/37, 38, Raqam-22.]

23/23

“Hazrat Jabir Bin Samurah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Umar Bin Khattab

RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Ne Jaabiya Ke Muqaam Par Hum Se Khitaab Kiya Aur Farmaya Ki Aaj Ke Hee

Deen Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hamare Darmiyan Khade Huwe Aur

Farmaya : Khabardar !

Mere Sahaba Se Achchha Sulook Karna Aur Phir Jo Un Ke Ba‟d Aaenge……..Aage Taweel Hadith Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Hibban, Hakim Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Hibban Fi As-Sahih, 10/436, Raqam-4576, Hakim Fi Al-Mustadrak, 01/198, Raqam-388, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/204, Raqam-2929,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-us-Saghir, 01/58, Raqam-245, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/38, Raqam-23.]

24/24

“Hazrat Qabisah Bin Jabir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhu Ne Jaabiya Ke Darwaaze Par Hamein Khitaab Kiya.

Aur Kaha BeShak RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hamare Darmiyan Khade

Huwe Aur Farmaya :

Aye Logo‟n Mere Sahaba Ke Baare Me Allah Se Darna Phir Jo In Ke Ba‟d Honge Aur Jo Phir Un Ke Ba‟d

Honge Phir Jhoot Aur Jhooti Shahadato‟n Se Bachna.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/404, Raqam-23412, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/39, Raqam-24.]

25/25

“Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Woh Kahte Hain Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba Ke Saath Bhalaayi Karo Phir Jo In Ke Ba‟d Honge Aur Phir Jo Un Ke Ba‟d Honge Aur Phir Jo

Un Ke Ba‟d Honge Aur Jo Jannat Ke Wast Me Ghar Banana Chaahta Hai Use Chaahiye Ki Woh Jama‟at Ko

Laazim Pakade Aur Jis Ko Neki Khusi Me Daal De Aur Buraayi Us Ko Pareshaani Me Mubtila Kar De Woh

Haqiqi Momin Hai.”

Is Hadith Ko Imam Bazzar Aur Ibn Abi Asim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Bazzar Fi Al-Musnad, 01/269, Raqam-166, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/631, Raqam-1489, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/39, Raqam-25.]

26/26

“Hazrat Thawban RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jab Mere Sahaba Ka Zikr Kiya Jaaye To Khaamosh Ho Jaao Jab Sitaaro‟n Ka Zikr Kiya Jaaye To Khaamosh

Ho Jaao Aur Jab Qadr Ka Zikr Kiya Jaaye To Bhi Khaamosh Ho Jaao.”

Page 8 of 14

Is Hadith Ko Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 02/96, Raqam-1427, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/40, Raqam-26.]

27/27

“Hazrat Qatadah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Woh Kahte Hain Ki Hazrat Abd-ul-Allah Bin

Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Puchha Gaya Ki Kya As‟hab-E-Rasool SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa

Aalihi Wa Sallam Muskuraate They ?

To Unhone Farmaya :

Ki Haa‟n Aur Imaan Un Ke Dilo‟n Me Pahaado‟n Se Bhi Bada Tha.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Nu‟aym Ne Riwayat Kiya Hai.

Aur Aik Riwayat Me Hain Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool-ul-Allah

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba Ke Baare Me Mera Lihaaz Karna Kyun Ki Woh Meri Ummat Ke Behtareen Log Hain.”

Is Hadith Ko Imam Quda‟iy Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 01/311, Quda’iy Fi Musnad-ush-Shihab, 01/418, Raqam-720, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-

Sahabah,/40, Raqam-27.]

Fasl-05 :Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke

Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Tawassul Se Husool-E-

Fat’h Ka Bayan 28/28

“Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Logo‟n Par Aik Aisa Zamana Aayega Jab Logo‟n Kee Aik Badi Jama‟at Jihaad Karegi To Un Se Puchha

Jaayega Kya Tum Me Se Koi Aisa Shakhs Hai Jo RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Kee Suhbat Me Raha Ho ?

Pas Woh Log Kahenge Haa‟n

To Unhein Fateh Haasil Ho Jaayegi.

Phir Logo‟n Par Aik Aisa Zamana Aayega Ki Jab Logo‟n Aik Badi Jama‟at Jihaad Karegi To Un Se Puchha

Jaayega Kya Tum Me Koi Aisa Shakhs Hai Ki Jis Ne RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ke As‟hab Kee Suhbat Paayi Ho ?

To Woh Kahenge Haa‟n

To Phir Unhein Fateh Haasil Ho Jaayegi.

Phir Logo‟n Par Aisa Zamana Aayega Ki Aik Kaseer Jama‟at Jihaad Karegi To Un Se Puchha Jaayega :

Kya Tumahare Darmiyan Koi Aisa Shkhs Hai Jis Ne RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ke As‟hab Kee Suhbat Paane Waalo‟n Kee Suhbat Paayi Ho ?

To Woh Kahenge Haa‟n To Unhein Fateh De Dee Jaayegi.”

Yeh Hadith Muttafaque Alayh Hai.

– [Bukhari Fi As-Sahih, 03/1335, Raqam-3449, Muslim Fi As-Sahih, 04/1962, Raqam-2532, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 03/07, Raqam-1056,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 11/86, Raqam-4768, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/41, 42, Raqam-28.]

29/29

“Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Logo‟n Par Aik Aisa Zamana Aayega Ki Woh Jang Karege To Unhein Kaha Jaayega Ki Kya Tum Me Koi

Aisa Shakhs Bhi Hai Jis Ne RasoolAllah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Suhbat Paayi

Page 9 of 14

Ho ?

Woh Kahenge Ki Haa‟n To Unhein Fateh Haasil Ho Jaayegi.

Phir Woh Jihaad Karege To Un Se Kaha Jaayega Ki Tum Me Koi Aisa Shakhs Hai Jis Ne RasoolAllah

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Sahaba Kee Suhbat Ikhtiyaar Kar Rakkhi Ho ?

Woh Kahenge Jee Haa‟n !

To Unhein Fateh Haasil Ho Jaayegi.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Bukhari Fi As-Sahih, 03/1316, Raqam-339, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/42, Raqam-29.]

30/30

“Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Bayan Karte Hain Ki Rasool-ul-Allah SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Logo‟n Par Aik Aisa Zamana Aayega Jis Me Woh Aik Lashkar Ko Jang Ke Liye Rawaana Karenge, Log

Kahenge Dekho‟n In Me Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Koi

Sahabi Hai ?

Phir Aik Shakhs Mil Jaayega Aur Un Ko Us Kee Barkat Se Fateh Haasil Ho Jaayegi, Phir Aik Doosra Lashkar

Rawaana Kiya Jaayega Log Kahenge :

Kya In Me Koi Aisa Shakhs Hai Jis Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ke As‟hab Ko Dekha Ho ?

Phir Us Kee Barkat Se Un Ko Fateh Haasil Ho Jaayegi Phir Aik Teesra Lashkar Rawaana Kiya Jaayega Aur

Yeh Kaha Jaayega Dekho Kya In Me Koi Aisa Shakhs Hai Jis Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke As‟hab Ko Dekhne Waale Ko Dekha Ho (?

Phir Us Kee Barkat Se Un Ko Fateh Haasil Ho Jaayegi) Phir Aik Chautha Lashkar Rawaana Kiya Jaayega Phir

Kaha Jaayega Dekho Tum In Me Se Koi Aisa Shakhs Dekhte Ho‟n Jis Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke As‟hab Ke Dekhne Waalo‟n Me Se Kisi Aik Shakhs Ko

Dekha Ho Phir Aik Shkahs Mil Jaayega Aur Us Kee Barkat Se Fateh Haasil Ho Jaayegi.”

Is Hadith Ko Imam Musim Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1962, Raqam-2532, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 02/263, Raqam-973, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/42, 43, Raqam-30.]

31/31

“Hazrat Jabir RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Zaroor Bil-Zaroor Logo‟n Par Aik Aisa Zamana Aayega Ki Un Ke Lashkaro‟n Me Se Aik Lashkar Jihaad Ke

Liye Niklega Pas Kaha Jaayega Ki Kya Koi Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi

Wa Sallam Ka Sahabi Hai ?

Jis Ke Zariye Tum Nusrat Talab Karo To Fatehyaab Ho Jaao Phir Kaha Jaayega Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ka Sahabi Koun Hai ?

Kaha Jaayega Koi Nahin.

Phir Kaha Jaayega Koi Tabi‟iy Hai ?

Kaha Jaayega Koi Nahin Phir Kaha Jaayega Koi Taba‟ Tabai‟iyn Hai ?

Kaha Jaayega Koi Nahin Aur Agar Woh Is Ke Muta‟lliq Samundar Ke Us Paar Se Is Ke Baare Me Sunte To

Zaroor Is Ke Paas Aa Jaate.”

Is Hadith Ko Imam Aboo Ya‟la Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/132, Raqam-2172, ‘Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/313, Raqam-1020, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-

Fawa’id, 10/18, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/44, Raqam-31.]

Page 10 of 14

Fasl-06 :Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke

Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ko Bura Bhala Kahne Kee

Mumani’at Ka Bayan 32/32

“Hazrat Aboo Sa‟iyd Khudri RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho Pas Agar Tum Me Se Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar

De To Phir Bhi Woh In Me Se Kisi Aik Ke Ser Bhar Ya Is Se Aadhe Ke Barabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”

Is Hadith Ko Imam Bukhari, Tirmidhi Aur Aboo Dawud Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Farmate

Hain Ki Yeh Hadith Hasan Hai.

– [Bukhari Fi As-Sahih, 03/1343, Raqam-3470, Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/695, Raqam-3861, Aboo Dawud Fi As-Sunan, 04/214, Raqam-4658,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/45, Raqam-32.]

33/33

“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Marwi Hai Ki Rasool-ul-Allah SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho, Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho Pas Qasam Hai Us Zaat Kee Jis Ke Qabz-

E-Qudrat Me Meri Jaan Hai !

Agar Tum Me Se Koi Uhad Pahaad Ke Baraabar Bhi Sona Kharch Kar De To Phir Bhi Woh In Me Se Kisi

Aik Ke Ser Bhar Ya Is Se Aadhe Ke Barabar Bhi Nahin Pahunch Sakta.”

Is Hadith Ko Imam Muslim, Nasa‟I Aur Ibn Majah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1976, Raqam-2540, Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/57, Raqam-161, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/84, Raqam-8304,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 16/238, Raqam-7253, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/45, 46, Raqam-33.]

34/34

“Hazrat Abd-il-Allah Bin Mughaffal RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Woh Kahte Hain Ki Rasool-

ul-Allah SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta‟ala „Alayhim Ajma‟iyn Ke Baare Me Allah Se Daro Aur Mere

Ba‟d Un Ko Apni Guftagu Ka Nishaana Mat Banana Kyun Ki Jis Ne Un Se Muhabbat Kee Us Ne Meri Wajah

Se Un Se Muhabbat Kee Aur Jis Ne Un Se Bughz Rakkha Us Ne Mere Bughz Kee Wajah Se Un Se Bughz

Rakkha Aur Jis Ne Un Ko Taklif Pahunchaayi Us Ne Mujhe Takhlif Pahunchaayi Aur Jis Ne Mujhe Takhlif

Pahunchaayi Us Ne Allah Ko Taklif Pahunchaayi Jis Ne Allah Ko Taklif Pahunchaayi Anqareeb Us Kee

Giraft Huwi.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Aur Ahmad Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/696, Raqam-3862, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/87, Ru’yani Fi Al-Musnad, 02/92, Raqam-882,

Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/147, Raqam-525, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/46, 47, Raqam-34.]

35/35

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Ki Rasool-ul-Allah SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jab Tum Un Logo‟n Ko Dekho‟n Jo Mere Sahaba-E-Kiram Ko Bura Bhala Kahte Hain To Tum Kaho Ki Tum

Par Allah Kee La‟nat HoTumhare Sharr Kee Wajah Se.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/697, Raqam-3866, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 08/191, Raqam-8366 Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 01/263, Raqam-1022,

Page 11 of 14

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/47, Raqam-35.]

36/36

“Hazrat Nusayr Bin Dha‟looq RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Abd-ul-Allah Bin

Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Kahte Hain Ki As‟hab-E-Rasool SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa

Sallam Ko Bura Mat Kaho Pas Un Ke Amal Ka Aik Lamha Tumhaari Zindagi Ke Tamam A‟maal Se Behtar

Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/57, Raqam-162, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/405, Raqam-32415, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/484, Raqam-1006,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/47, 48, Raqam-36.]

37/37

“Hazrat Umar Bin Khattab RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Mein Ne Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Khitaab Karte Huwe Suna Pas Aap SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba Kee Izzat Karo Phir Un Kee Jo Un Ke Saath Mile Huwe Hain Aur Phir Un Kee Jo Un Ke Saath

Mile Huwe Hain Phir Jhoot Zaahir Ho Gaya Yaha‟n Tak Ki Aadami Qasam Talab Kiye Jaane Se Pahle Qasam

Utha Lega Aur Shahadat Talab Kiye Jaane Se Pahle Shahadat De Dega Pas Jo Jannat Kee Wasi‟at Ka Taalib

Hai To Us Par Laazim Hai Jama‟at Ko Laazim Pakde Aur Judaayi Aur Tafriqa Se Bacho BeShak Shaytaan

Aik Ke Saath Hai Aur Woh Do-02 Se Bahut Durr Hai Aur Koi Aadami Hargiz Kisi Aurat Ke Saath Khalwat

Me Na Mile Kyun Ki Un Me Shaytaan Hai Aur Jis Ko Us Kee Neki Khush Aur Buraayi Pareshaan Kare To

Wohi Momin Hai.”

Is Hadith Ko Imam Nasa‟i Aur Imam Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/387, Raqam-9222, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 03/204, Raqam-2929, Tahawi Fi Sharh Ma’ani Al-Athar, 04/150,

Tayalisi Fi Al-Musnad, 01/07, Raqam-31, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/48, 49, Raqam-37.]

38/38

“Hazrat Jabir Bin Abd-il-Allah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Marwi Hai Woh Kahte Hain Ki Mein Ne

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ko Yeh Farmate Huwe Suna Ki

BeShak Log Kaseer Ta‟daad Me Hain Aur Mere Sahaba Qaleel Hain.

Pas Mere Sahaba Ko Bura Bhala Mat Kaho Aur Jis Ne In Ko Bura Bhala Kaha Us Par Allah Ta‟ala Kee La‟nat

Ho.”

Is Hadith Ko Imam Tabarani Aur Imam Aboo Ya‟la Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 02/47, Raqam-1203, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/133, Raqam-2184, Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-

ul-Asfiya’, 03/350, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 03/301, Raqam-6884, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/49, Raqam-38.]

39/39

“Hazrat Ata‟ Bin Aboo Ribah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Rasool-ul-Allah SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jis Ne Mere Sahaba Kee Meri Wajah Se Hifazat Kee Aur Izzat Kee To Qiyaamat Ke Din Mein Us Ka

Muhaafiz Hounga Aur Jis Ne Mere Sahaba Ko Gaaliya‟n Dee To Us Par Khuda Kee La‟nat Ho.”

Is Hadith Ko Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/54, Raqam-10, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/39, Raqam-39.]

Page 12 of 14

40/40

“Hazrat „Uwaym Bin Sa‟idah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

BeShak Allah Ta‟ala Ne Mujhe (Apna Pasandidah Rasool) Ikhtiyar Kiya Aur Mere Liye Mere Sahaba Ko

Ikhtiyar Kiya Pas Is Ne Mere Liye Un Me Se Wujara‟ Banaaye Aur Qareebi Rishtedar Aur

Ansaar(Madadgaar) Pas Jis Ne Inhein Gaali Dee To Us Par Allah Ta‟ala Aur Us Ke Firishto‟n Aur Tamam

Logo‟n Kee La‟nat Ho Aur Qiyamat Ke Roz Allah Ta‟ala In Ke Kisi Her Pher Ya Daleel Ko Qubool Nahin

Karega.”

Is Hadith Ko Imam Hakim, Tabarani Aur Ibn Abi Asim Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Hakim Farmate Hain

Ki Yeh Hadith Sahih-ul-Isnad Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/832, Raqam-6656, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 01/144, Raqam-456, Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 02/483, Raqam-1000,

Shaybani Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 03/370, Raqam-1772, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/50, Raqam-40.]

41/41

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Mere Sahaba Kee Bura‟iya‟n Bayaan Na Karo Ki Un Ke Liye Tumhare Dilo‟n Me Ikhtilaaf Paida Ho Jaaye

Aur Mere Sahaba Ke Mahaasin Aur Achchha‟iya‟n Yaad Karo Yaha‟n Tak Ki Tumhare Dil Un Ke Liye Aapas

Me Ikatthey Ho Jaaein.”

Is Hadith Ko Imam Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/31, Raqam-7362, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/50, 51, Raqam-41.]

Fasl-07 :Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke

Sahaba-E-Kiram Ridwan-ul-Allahi Ta’ala ‘Alayhim Ajma’iyn Ke Jami’ Manaqib Ka Bayan 42/42

“Hazrat Aboo Hurayrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu

Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hira‟ Pahaad Par Tashrif Farmaate Aur Aap Ke Saath Hazrat Aboo Bakr,

Hazrat Umar, Hazrat Uthman, Hazrat Ali, Hazrat Talha Aur Hazrat Zubayr RadiyAllahu Ta‟ala „Anhum They

Itne Me Pahaad Larza‟n Ho Gaya To Aap SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Tahar Ja, Kyun Ki Tere Oopar Nabi, Siddiuqe Aur Saheed Ke Siwa Koi Aur Nahin Hai.”

Is Hadith Ko Imam Muslim Aur Imam Tirmidhi Ne Riwayat Kiya Hai Aur Imam Tirmidhi Farmate Hain Ki

Yeh Hadith Sahih Hai.

– [Muslim Fi As-Sahih, 04/1880, Raqam-2417, Tirmidhi Fi As-Sunan, 05/624, Raqam-3696, Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/59, Raqam-8207,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 15/441, Raqam-6983, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/52, Raqam-42.]

43/43

“Hazrat Abd-il-Allah Shaqiq RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu Se Riwayat Hai Ki Unhone Umm-ul-Mu‟minin

Hazrat Aaishah Siddiqua RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Se Puchha :

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Haa‟n Aap Ke Sahaba-E-Kiram

Ridwan-ul-Allahi Ta‟ala „Alayhim Ajma‟iyn Me Koun Sab Se Ziyadah Mahboob They ?

Umm-ul-Mu‟minin RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Ne Farmaya :

Hazrat Aboo Bakr Siddique RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu.

Mein Ne Arz Kiya :

Phir Koun Ziyadah Mahboob They ?

Aap Ne Farmaya :

Page 13 of 14

Hazrat Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu.

Mein Ne Arz Kiya :

Phi Koun Ziyadah Mahboob They ?

Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Ne Farmaya :

Hazrat Aboo Ubaydah Bin Jarrah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhu.

Mein Ne Puchha Phir Koun ?

Is Par Hazrat Aaishah RadiyAllahu Ta‟ala „Anha Khaamosh Ho Gayin.”

Is Hadith Ko Imam Tirmidhi, Imam Ibn Majah Aur Imam Ahmad Bin Hanbal Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Tirmidhi Fi As-Sunan, 06/39, Raqam-3657, Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/38, Raqam-102, Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 06/218, Raqam-25871,

Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/52, 53, Raqam-43.]

44/44

“Hazrat Abd-il-Allah Bin Mas‟ood RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jab Bhi Tumhein Kitab-ul-Allah Ka Hukm Diya Jaaye To Us Par Amal Laazim Hai, Us Par Amal Na Karne

Par Kisi Ka Uzr Qaabile Qubool Nahin, Agar Woh (Mas‟ala) Kitab-ul-Allah Me Na Ho To Meri Sunnat Me

Use Talaash Karo Jo Tum Me Mawjood Ho Aur Agar Meri Sunnat Se Bhi Na Ho To (Us Mas‟ale Ka Hal)

Mere Sahaba Ke Aqwaal Ke Mutaabiq (Talaash) Karo Farmaya :

Mere Sahaba Kee Misaal Yoo‟n Hai Jaise Aasmaan Par Sitaare, Un Me Se Jis Ka Daaman Pakad Loge

Hidaayat Paa Jaaoge Aur Mere Sahaba Ka Ikhtilaaf (Bhi) Tumhare Liye Rahmat Hai.”

Ise Imam Ahmad, Bazzar, Tabarani Aur Bayhaqui Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 01/379, Raqam-3600, Bazzar Fi Al-Musnad, 05/212, Raqam-1702, 1816, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 04/58,

Raqam-3602, Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 09/112, 115, Raqam-8582, 8593, Bayhaqui Fi Al-I’tiqad, 01/322, Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa

Manba’-ul-Fawa’id, 01/177, 08/212, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/53, 54, Raqam-44.]

45/45

“Hazrat Abd-ul-Allah Bin Abbas RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Marwi Hai Ki Huzoor Nabiyy-E-Akram

SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Jab Bhi Tumhein Kitab-ul-Allah Hukm Diya Jaaye To Us Par Amal Laazim Hai, Us Par Amal Na Karne Par

Kisi Ka Uzr Qaabile Qubool Nahin, Agar Woh (Mas‟ala) Kitab-ul-Allah Me Na Ho To Meri Sunnat Me Use

Talaash Karo Jo Tum Me Mawjood Ho Aur Agar Meri Sunnat Se Bhi Na Ho To (Us Mas‟ale Ka Hal) Mere

Sahaba Ke Aqwaal Ke Mutaabiq (Talaash) Karo Farmaya :

Mere Sahaba Kee Misaal Yoo‟n Hai Jaise Aasmaan Par Sitaare, Un Me Se Jis Ka Daaman Pakad Loge

Hidaayat Paa Jaaoge Aur Mere Sahaba Ka Ikhtilaaf (Bhi) Tumhare Liye Rahmat Hai.”

Ise Imam Bayhaqui Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Bayhaqui Fi Al-Madkhal Ila As-Sunan-ul-Kubra, 01/162, Raqam-152, Abd Bin Humayd Fi Al-Musnad, 01/250, Raqam-873, Quda’iy Fi Musnad-ush-

Shihab, 02/275, Raqam-1346, Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 04/160, Raqam-6497, Dhahabi Fi Mizan-ul-I’tidal Fi Naqd-ir-Rijal, 02/142, : 08/73,

Wa Fi Lisan-ul-Mizan, 02/118, 137, Raqam-594, Khatib Al-Baghdadi Fi Al-Kifayah Fi Ilm-ir-Riwayah, 01/48, Ibn Kathir Fi Tuhfat-ut-Talib, 01/451,

Raqam-341, Ibn Mulaqqin Fi Khulasat-ul-Badr-ul-Munir, 02/341, Raqam-2868, Ibn Abd-il-Barr Fi At-Tamhid, 04/263, Ibn Hajar ‘Asqalani Fi Fat’h-ul-

Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 04/57, Ibn Qudamah Fi Al-Mughni, 03/2109, Amidi Fi Al-Ihkamu Fi Usool-il-Ahkam, 01/290, Ibn Hazm Fi Al-Ihkamu Fi

Usool-il-Ahkam, 05/61, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/54, 55, Raqam-45.]

46/46

“Nusayr Bin Dha‟looq Riwayat Karte Hain Ki Hazrat Abd-ul-Allah Bin Umar RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma

Farmaya Karte They :

Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Sahaba-E-Kiram Ko Bura Mat

Page 14 of 14

Kaho, Kyun Ki Un Ka Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Kee Suhbat

Me Guzara Huwa Aik Lamha Tumhari Zindagi Bhar Ke (A‟mal) Se Behtar Hai.”

Is Hadith Ko Imam Ibn Majah Aur Ibn Abi Shaybah Ne Riwayat Kiya Hai.

– [Ibn Majah Fi As-Sunan, 01/57, Raqam-162, Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 06/405, Raqam-32415, Ibn Abi ‘Asim Fi Kitab-us-Sunnah, 02/484, Raqam-

1006, Kinani Fi Misbah Al-Zujajah Fi Zawa’id Ibn Majah, 01/24, Raqam-59, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/55, Raqam-46.]

47/47

“Hazrat Jabir Bin Abd-ul-Allah RadiyAllahu Ta‟ala „Anhuma Se Riwayat Hai Ki Aik Daf‟a Hum Huzoor

Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Muhaajireen Ke Aik Giroh Me

Aik Ghar Me They Aur Us Giroh Me Hazrat Aboo Bakr, Hazrat Umar, Hazrat Uthman, Hazrat Ali, Hazrat

Talha, Hazrat Zubayr, Hazrat Abd-ur-Rahman Bin Awf Aur Hazrat Sa‟d Bin Abi Waqqas RadiyAllahu Ta‟ala

„Anhum Bhi They To Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala „Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :

Har Aadami Apne Kufoo Kee Taraf Khada Ho Jaaye Aur Khud Huzoor Nabiyy-E-Akram SallAllahu Ta‟ala

„Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Hazrat Uthman Kee Taraf Khade Ho Gaye Aur Unhein Apne Gale Lagaya Aur

Farmaya :

Aye Uthman Too Dunya Wa Aakhirat Me Mera Dost Hai.”

Is Hadith Ko Imam Hakim Aur Imam Aboo Ya‟la Ne Riwayat Kiya Aur Imam Hakim Ne Kaha Yeh Hadith

Sahih-ul-Isnad Hai.

– [Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/104, Raqam-4536, Aboo Ya’la Fi Al-Musnad, 04/44, Raqam-2051, Ahmad Bin Hanbal Fi Fada’il-us-Sahabah, 01/524, Raqam-

868, Manawi Fi Fayd-ul-Qadir Sharh Al-Jami’ As-Saghir, 04/302, Kanz-ul-Inabah Fi Manaqib-is-Sahabah,/56, 57, Raqam-47.]